Type Here to Get Search Results !

Madh e Aamad e Imam Hassan By Asad Ali Asad

 Madh e Aamad e Imam Hassan By Asad Ali Asad

Madh e Aamad e Imam Hassan By Asad Ali Asad In Urdu Text


مہ صیام کا ہے وسط اور آمد حسن 

جناں میں جشن کی سجی ہوئی ہے آج انجمن


کرم ہے یہ میں فرش پر ہوں عرش پر ہے فکر وفن

 دل و دماغ اور میرے خیال ہیں وہاں مکن


حسن کے عشق میں قبائے سبز کر کے زیب تن

 وہ نشہء ولا کی موج میں ہیں سارے موجزن


لگا ہے ایسا آمد حسن کی منقبت پہ من

  میں پڑھ رہا ہوں اور انبیا ہیں میرےہم  سخن


حسن وہ جس کو مصطفی پکارتے ہیں جان من

 کہا گیا علی کو جس کے آنے پر ابو احسن


ہرا بھرا یہ ہو گیا ہے جس سے فاطمی چمن 

وہ پنجتن کی بزم میں حُسن ہے چوتھا گل بدن


علی و فاطمہ کی اس خوشی سے ہے جسے جلن 

جلائے گی بروز حشر اُس کو دوزخی اگن


نبی کی آل پر ہے جو بھی طعنہ زن یا تیر زن

 عذاب سے نہ بچ سکے گا چاہے کر لے سو جتن


پیام امن لے کے چل رہی ہے ہر طرف پون

 درود کی صداؤں سے فضا سے چھٹ رہی ٹھٹن


زمانہ ہے قیام میں زرا سی بھی نہیں تھکن

لبوں پہ حرفِ تہنیت لیے فرشتے ہیں مگن


فلک تلک سجا سجا زمیں زمین زمن زمن 

گلوں کے سر سجود میں تشکر اک چمن چمن


پہن لیا خوشی سے ہر شجر نے سبز پیرہن

وہ پانیوں پر گرتی آبشاروں کی جھنن چھنن


حجاب نور لم یلد میں نور کی پڑی کرن

نزول محتمی ہوا زمین بن گئی عدن


ملائکہ کے ساتھ جبرئیل ہے وہ نعرہ زن

وہ آ گئے وہ آ گئے بتول گود میں حسن

Madh e Aamad e Imam Hassan By Asad Ali Asad In English Text

Mah-e-Siyam Ka Hai Wast Our Aamad-e-Hasan.

Jinna Mein Jashan Ki Saji Hoi Hai Aaj Anjuman.


Karam Hai Yeh Main Farsh Par Hoon Arsh Par Hai Fikar-o-Fun.

Dil-o-Damag Our Mere Khiyal Hain Wahan Magan.


Hasan Ke Ishq Mein Qaba e Sabz Kar Ke Zaib Tan.

Woh Nasha e Wila Ki Mauj Mein Hain Sare Maujzan.


Laga Hai Aisa Aamad-e-Hasan Ki Manqabat Pe Man.

Main Parh Raha Hoon Our Anbiya Hain Mere Hum Sukhan.


Hasan Woh Jis Ko Mustafa Pukartay Hain Jan-e-Man.

Kaha Gaya Ali Ko Jis Ke Aane Par Abu Al Hasan.


Hara Bhara Yeh Ho Gaya Hai Jis Se Fatami Chaman.

Woh Panjtan Ki Bazm Mein Hasan Hai Chotha Gul Badan.


Ali-o-Fatima Ki Iss Khushi Se Hai Jisay Jalan.

Jalaye Gi Baroz-e-Hashar Oss Ko Dozakhi Agan.


Nabi Ki Aal Par Hai Jo Bhi Tana Zan Ya Teer Zan.

Azab Se Na Bach Sakay Ga Chahe Kar Le So Jatan.


Pyam-e-Aman Le Ke Chal Rahi Hai Har Taraf Pawan.

Darood Ki Sadaon Se Fiza Se Chat Rahi Ghuttan.


Zamana Hai Qiyam Mein Zara Si Bhi Nahi Thakan.

Labon Pe Harf-e-Tahniyat Liye Farishtay Hain Magan.


Falak Talak Saja Saja Zameen Zameen Zaman Zaman.

Gullon Ke Sar Sajod Mein Tashakur Ik Chaman Chaman.


Pehan Liya Khushi Se Har Shajar Ne Sabz Pairhan.

Woh Paniyon Pe Girti Aabsharon Ki Jhanan Jhanan.


Hijab-e-Noor-e-Lam Yalid Mein Noor Ki Pari Kiran.

Nuzool-e-Mujtaba Howa Zameen Ban Gayi Adan.


Malaika Ke Sath Jibreel Hai Woh Narah Zan.

Woh Aa Gaye Woh Aa Gaye Batool Gaud Mein Hasan

Top Post Ad

Below Post Ad

Send Noha Lyrics
Right click is disabled for this website.