Type Here to Get Search Results !

Chalo Azadaro | Ali Ahmed Rizvi | Nohay Lyrics 2024 |MUHARRAM 1446

 Chalo Azadaro | Ali Ahmed Rizvi | Nohay Lyrics 2024 |MUHARRAM 1446

 Chalo Azadaro | Ali Ahmed Rizvi | Nohay Lyrics 2024 |MUHARRAM 1446 In English Text

Chalo Azadaron…

Utho Azadaron…

Chalo Hussain Humein Karbala Bulate Hain.

  Dua-e-Maadare Shabbir Hai Azadaron,

    Atae Zainabe Dilgeer Hai Azadaron,

    Bulandiyon Pe Joh Taqdeer Hai Azadaron,

    Har Ek Dil Pe Yeh Tehreer Hai Azadaron,

    Gunaah Garon Ko Woh Apne Baqshwate Hai,

    Chalo Hussain….


 Bulawa Aahegaya Hai Toh Phir Chala Jaaye,

    Jahan Hai Unke Qadam Sar Waha Rakha Jaaye,

    Ameere Mamlekate Deen Se Mila Jaaye,

    Phir Uske Baad Koi Faisla Kiya Jaaye,

    Ajab Khushi Hai Zamane Ko Bhul Jaate Hai,

    

 Na Khuld Jaane Ki Hasrat Jahan Mein Ubhregi,

    Joh Karbala Ki Fazilat Dilon Mein Utregi,

    Na Koi Ghum Na Musibat Qareeb Guzregi,

    Hamare Ishq Ki Surat Kuch Aur Nikhregi,

    Hussain Sabke Liye Apna Sar Katate Hai..


 Likhon Main Kaise ke Zayar Ki Kya Fazilat Hai,

    Khuda He Jaane Kise Kis Qadar Mohabbat Hai,

    Har Ek Shaks Ko Usse Badi He Ulfat Hai,

    Har Ek Qaum Ke Insan Ki Woh Jannat Hai,

    Mere Hussain Se Dushman Bhi Milne Aate Hai…


 Joh Karbala Ki Mohabbat Mein Doob Jaata Hai,

    Wahi Toh Khulde Bari Mein Maka’n Banata Hai,

    Nazar Se Usko Khuda Bhi Nahi Girata Hai,

    Alam Hussain Ke Bhai Ka Joh Uthata Hai,

    Falak Nasheen Bhi Qadmon Main Sar Jhukate Hai…


 Watan Se Zayre Shabbir Jab Nikalta Hai,

    Ghareeb Dekh Ke Buss Karwate Badalta Hai,

    Woh Haath Utha Ke Duaon Mein Roz Kehta Hai,

    Ghareeb Khaane Main Keh kehke Yeh Tadapta Hai,

    Mere Hussain Mujhe Roz Yaad Aate Hai…


 Waha’n Chalo Jahan Sarwar Gire The Ghode Se,

    Jahan Pe Baazue Abbas Dono Kaate Gaye,

    Jahan Pe Aun o Mohd Mere Tadapte Rahe,

    Jahan Bikhar Gaye Qasim Ki Laash ke Tukde,

    Wahi Pa Chahne Wale Bulaye Jaate Hai…


 Jahan Ragadte Rahe Ediyaan Ali Akbar,

    Wahin Pe Jalta Raha Ek Ghareeb Ka Bistar,

    Jahan Tadapti Thi Kulsumon Zainabe Muztar,

    Jahan Ujad Gaya Ashoor Ko Hussain Ka Ghar,

    Wahin Pe Shah Ke Bacche Tamache Khate Hain…


 Joh Thak Ke Baith Gaya Raah Mein Koi Zayar,

    Sahara Dete Hai Abbas Aur Ali Akbar,

    Tadap Tadap Ke Yeh Kehte Hai Dasht Mein Sarwar,

    Watan Ko Chhod Ke Aaye Ho Mere Rauze Par,

    Hum Aaj Apne Gale Se Tumhe Lagate Hai…


 Shabab Aur Ali Milke Yeh Dua Maango,

    Hamari Haazri Ab Jald Karbala Mein Ho,

    Yeh Kehke Warise Karbobala Ko Pursa Do,

    Khuda Karen Ke Zahoore Imam Jaldi Ho,

    Ab Unke Chahnewale Sataye Jaate Hai…



Reciter - Ali Ahmed Rizvi

Poet - Maulana Shabab Jalalpuri



Top Post Ad

Below Post Ad

Send Noha Lyrics
Right click is disabled for this website.