Ghareeb e Zahra Kahan Tumhara Safar | Mesum Abbas Nohay Lyrics 2024 In English &
Urdu Text
Ghareeb e Zahra Kahan Tumhara Safar |
Lyrics In Roman Urdu Text
Ghareeb e Zahra Kahan Tumhara Safar |
Lyrics In Roman English Text
Ghareeb-e-Zahra Shaheed-e-Karb-o-Bala
Kahan hamara safar kahan tumhara safar
Humne jab pehla qadam Karb-o-Bala mein rakha
Tumne zawaaron ka is tarah se ehsaas kiya
Rakh diya haath azaadaron ke dil par haaye
Humne rona bhi agar chaha to rone na diya
Haan magar tumko yahan jab bulaya mehmaan
Mil ke nau lakh ne maqtal mein rula kar maara
Aaj rozay se bahut door hai darya Maula
Haan magar phir bhi in aankhon ne yeh dekha Maula
Har qadam raah mein paani ki sabeelen to mileen
Karbala mein na mila koi bhi pyaasa Maula
Teen din tak tum pe band paani rakh ke
Kar diya qatal isi sheher mein bhooka pyaasa
Maula hum bhool nahi paayenge Zainab ki thakan
Aap ki tarah mere saath bhi aayi hai behan
Woh bhi ghar laut ke jaayegi yahan se lekin
Sar pe chadar bhi hai haathon mein nahi koi rasan
Aur tumhari woh behan hoke paaband-e-rasan
Shaam rukhsat hui baalon se chhupa kar chehra
Baap se door kahan rehti hai koi beti
Jab meri beti mere seene se aakar lipti
Koi na aaya use mujhse chhudane ke liye
Haan magar aap ki woh chaar baras ki pyaasi
Dasht mein roti hui aap se jab lipti
Shimar ne kheench ke baalon se tamaacha maara
Ek din roza-e-Abbas pe hum baithe the
Chalte chalte wahan ek shakhs gira jab aake
Khud woh uth sakta tha baazu the salamat phir bhi
Jisne dekha woh chala aaya sahaara dene
Aur gire yun Ghazi ho gaya munh zakhmi
Apne haathon ka sahaara bhi nahi tha Maula
Dil yahin chhod diya laut ke jaata hoon watan
Kerne aaya hoon salaam aakhri ae Shah-e-Zaman
Na andhera hai na mujh par hai museebat koi
Tooq gardan mein na zanjeer mein jakda hai badan
Aur woh Abid ka safar ek qaidi ban kar
Sar jhukaye hue laashe se tumhare guzra
Aa gaya Mesum o Zeeshan mein rukhsat hokar
Na hi kaanton ki chubhan na koi sar neeze par
Taaziyaane bhi kisi ne nahi maare Mujhko
Aag Na Khaulta Paani Na Baraste Pathar
Jitna chaaha roya kab kisi ne maara
Raah mein apna safar dekh ke main kehta raha
Social Plugin