Itni Mohlat To Day Qaza Mujhko Apny Seenay Say Khud Sina Khenchung Zakhm Baba Na Daikh Paingay
Mere Seenay Main Daikh Lain Neeza Phir To Baba Sambhal Na Paingay
Sunkay Meri Sada Ko Kheemay Say Chal Kay Guthnong Kay Bal Wo Atay Hain
Do Qadam Par Hi Khak Pay Gir Kar Keh Kay Akbar (as) Muje Bulatay Hain
Sath Ghazi (as) Nahi HainAb kesay Mujhko Khemon Main Lkay Jaingay
Mere Baba Kay Aik Ansu Pay Lakh Akbar (as) Nisar Nisar Ho Jain
Gham Yea Zakhm-e-Sinan Say Gehra Hay Mujh Pay Rotaay Huay Wo Atay Hain
Kesay Daikhon Ga Unkay Main Ansu Jab Sirhanay Wo Ronay Atay Hain
Meray Chehray Ko Daikh Kar Baba Yad Kartay Thay Apnay Nana (S) Ko
Ab To Chehra Laho Main Dooba Hay Daikh Paingay Kesay Zakhmon Ko
Allah (J) Janay Zaeef Kandhon Pay Kesay Lasha Mera Uthaingay
Main Jo Nikla Tha Ran Ki Janib To Pechay Pechay Wo Chaltay Atay Thay
Murh Kay Daikho Ay Lal Kehtay Thay Aor Ro Kar Galay Lagatay Thay
Kash Niklay Sinan Yea Seenay Sy Akay Seenay Say Wo Lagain Gay
Baba Kehtay Thay Mujhko Ay Akbar (as) Kash Tera Koi Piar Hota
Ay Saharay Meri Musibat Kay Tu Mera Dard Tab Samaj Laita
Be Watan Keh Kay Haye Sehra Main Sham Walay Muje Rulaingay
Muhko Nazon Say Jisnay Pala Tha Muntazir Hain Wo Dar Pay Kheemay Kay
Wo Nikalny Lagi Hay Maqtal Ko Aor Akbar (as) Ka Dam Nikalta Hay
Baba Jakar Laraztay Honton Say Phuphi Zainab (sa) Ko Kia Bataingay
Itay Tanha Hain Ab Sahara Bhi Dinay Wala Koi Nahi Unko
Daikh Kar Mujhko Khak Par Zakhmi Larkharatay Agr Girain Gay To
Kham Kamar Tham Kar Meray Baba Apnay Abbas (as) Ko Bulaingay
Na Sinan Tu Nikal Saki Lekin Sabiron Ka Imam Pohncha Hay
Kamptay Hath Rakh Kay Neezay Par Ro KayBetay Say Bap Kehta Hay
Chand Lamhong Ki Bat Hay Akbar (as) Pass Ham Tumharay Aaingay
Daikh Kar Asman Ki Janib Haye Rokay Hussain (as) Kehta Tha
Ay Khuda-e-Khalil Razi Ho Ham Nay Qurban Kar Dia Beta
Hay Yea Tasleem Gahr Ujar Jaye Tera Kaba Magar Bachaingay
Itni Tareek Ho Gain Aankhain Unko Maqtal Nazar Nahi Aata
Siskiyan Sun Kay Meri Kehti Hain Haye Akbar (as) Kahan Ho Ayy Beta
Barchi Seenay Main Hay Sada Kiya Doun Wo Jo Aain To Seh Na Paingay
Haye Main Nay Kabi Na Daikhi Thi Itni Mazloomi Unkay Chehray Par
Meri Janib Hain Aa Rahay Lekin Daikhtay Hain Khayam Murh Kar
Maan Jo Kheemay Say Roti Aa Jay Tab Wo Parda Bana Na Paingay
Itni Mohlat To Day Qaza Mujhko Noha Audio Download
Noha Title | Itni Mohlat To Day Qaza Mujhko |
Reciter Name | Matmi Dasta Haideria Khargrong Skardu |
Poetry By | Arif Sahab Skardu |
Released On | YouTube |
Released By | Muharram 1442/2020 |
Category | Noha |
Released Year | Muharram |
Posted By | Noha Lyrics |
Soz | Hasnain Balti |
Read New Noha Lyrics
Akbar Main Mar Jawan Gi Watnan Te Veer Aa Ja Noha Lyrics
21 Ramazan Shahadat HazratAli as Noha Lyrics
Syeda Farwa Jaunpuri New Noha Lyrics
Karam Kareem Karam Ki Nazar Lyrics
Chakwal Party Ustad Haideri Noha Lyrics
Chashm e Sajjad Se Abb Tak Bhi Laho Noha Lyrics
Mout Kay Dar Say Kay Kiya Ham Ali Chor Day Noha Lyrics
Main Veekhdi Aan Taraf Veer Diyan Rahwan Dey Noha Lyrics
Kis Tarah Bhulega Tujhko Yea Zamana Ya Hussain as Lyrics
ITNI THAKI HUWI HAI BABA TERI SAKINA Noha Lyrics Mohsin Jaffri
Social Plugin