Sinan Kay Samnay Rotay Huay Hathon Ko Phela Kar
Rida Kehta Rah Sajjad (as)
Laho Roti Nigahain Thi Musalsal Nok-e-Neza Par
Rida Kehta Raha Sajjad (as)
Meray Mazloom Betay Nay Vahan Kia Kuch Nahi Daikha
Bharay Bazar Main Sar BeRida Teri Zainab (sa) Ka
Kamar Gherat Say Jhukti Thi Jo Daikha Bhedh Main Manzar
Rasan Main Qaid Hathon Ko Bharata To Rulatay Thay
Rida Nazdeek Aati To Wo Neezon Ko Hatatay Thay
In Hi Hathon Pay Tab Durray Doyar Sham Main Kha Kar
Bata Sakti Ti ghazi (as) Katay Chalees Din Kesay
Sar-e-Bazar Phir Darbar Aor Zindan Main Roye
Har Ik Mehshar Pay Zainab (sa) Nay Kaha Abbas (as) Ro Ro Kar
Kabi Abbas (as) Tu Nay Bhi Na Wo Mahol Daikha Tha
Teri Zainab (sa) Jo Daikh Ai Hay Jakar Sham Main Bhyya
Vahan Aorton Nay Bhi Hamain Maray Thay Tab Patthar
Meray Sajjad (as) Ki Gurbat Pay Main Us Din Bohot Royi
Sakina (sa) Ki Imam Qawat Kay Hathon Pay Mayyat Thi
Tamachay Khanay Wali Ko Jalay Kurtay Hain Dafna Kar
Rihai Par Luta Asbab Kuch Wapas Jo Aya Tha
Vahan Sajjad (as) Nay Ro Ro Kay Ham Sabko Rulaya Tha
Laga Kar Us Gadhi Seenay Say Ma Zahra (sa) Ki Wo Chadar
Wo Pardon Ki Talab Ghazi (as) Kamar Kham Kar Gai Uski
Sina Kay Nok Say Haye nazar Hatti Na Thi Uski
Teri Zainab (sa) Kay Sar Pay Thi Vahan Par Khak Ki Chadar
Shab Abbas (as) Ki Turbat Pay Jis Dam Aa Gai Zainab (sa)
Laga Sadma Kuch Aesa Ki Vahin Ghash Kha Gai Zainab (sa)
Na Janay Kyon Phuphi Amma Kay Sar Pay Hath Ko Rakh Kar
Social Plugin