Qabr Me Sadiyoun Se Girya Noha Lyrics Ahmed Raza Nasiri Noha 2020
Qabr me sadiyoun se girya kar rahi hain Fatima (sa)
Hath pehlu par hai noha kar rahi hain Fatima (sa)
1) Dhoop me jalti hui turbat pe saaya bhi nahi
Fatima Zehra ko pursa koi bhi deta nahi
Bas akeli haye baba kar rahi hain Fatima (sa)
2) Zarb se zakhmi sar e Haider pe roone k lie
Yani Bibi saaqie kosar pe roone ke lie
Aaj bhi aankho darya kar rahi hain Fatima (sa)
3) Baa'is zeher e sitamgarr moun se jo ugla gaya
Qalb e Shabbar khoon me tar khak par bikhra hua
Haye Hassan keh kar ikatha kar rahi hain Fatima (sa)
4) Maamta ko maar dala khanjaro ne teer ne
Aakhiri sajda kiya tha jis jaga Shabbir ne
Us jaga har roz sajda kar rahi hain Fatima (sa)
5) Alqama roti hui ehle aza ki aankh se
Ashk e gham roomal me lekar wafa ki aankh se
Tarr Ali Akbar ka sehra kar rahi hain Fatima (sa)
6) Baal bikhrae hue ek noor hai bazaar me
Uski beti berida hai majma e kuffar me
Zainab e muztar pe saaya kar rahi hain Fatima (sa)
7) Saaf karne aae hain maqtal zameen e Karbala
Sham ke zindaan Najaf or Kazmain o Samarah
Gham ye qunbe ka hai barpa kar rahi hain Fatima (sa)
8) Jab Imam e Asr (a.s) khoun rote hain lekar hichkiyaan
Bain Yasir Shah Ahmed Nasiri kio ho giraan
Qabr me sadiyoun se aisa kar rahi hain Fatima (sa)
Noha Title | Qabr Me Sadiyoun Se Girya |
Reciter Name | Ahmed Raza Nasiri |
Poetry By | Yasir Abbas Shah |
Released On | YouTube |
Released By | Ajarersalat YT Channel |
Category | Noha |
Released Year | Muharram 1442 |
Posted By | Noha Lyrics |
Soz | Faheem Abbas |
Social Plugin