Type Here to Get Search Results !

Nadeem Sarwar Top 14 Old Urdu Noha Lyrics

Nadeem Sarwar Top 14 Old Urdu Noha Lyrics

Sakina (sa) Kahani Suno Nadeem Sarwar Noha Lyrics in Urdu  

Siyah Raat Mai

Zindan Ke Dar Pay Ro Ro Kai.
Sakina Kehti Hai, Baba Ye Shab Sata Ti Hai

Judaye Aap Ki, Us Par Ye Khak Ka Bistar
Kahin Andhaire Mai Bachon Ko Neend Uraati Hai.
Ye Sun Kay Zainab-e-mazloom Boli Gham Na Karo

Kahani Kehti Hu May Ek
Suno Sakina Suno
Sakina Kahani Suno

Ek Shahanshah Tha
Ek Shahanshah Tha
Yasrab Mai Raha Karta Tha

Us Ka Ghar Wo Tha Kay Quran Jahan Utra Tha
Dar Pay Gibreel Ka Darban Raha Karta Tha
Us Ka Angan Bhi Sitaro Say Bhara Rehta Tha
Uskai Darwazai Say Khali Na Koi Ja Ta Tha
Asman Us Ki Sakhawat Ki Qasam Khata Tha

Haye Sakina Kahani Suno

Uskai Baba Ko Dar-e Ilm Kaha Jata Tha
Maa Nai Shahzadi-e Qawnain Laqab Paya Tha
Us Kai Baiton Mai Nazar Aks-e Nabi Ata Tha
Baitiyon Ko Gule Pakiza Kaha Jata Tha
Us Kai Ek Bhai Ki Rag Rag Mai Wafa Behti Thi
Ek Bahan Sath Me Saye Ki Tarha Rehti Thi

Haye Sakina Kahani Suno

Ek Din Kia Hoa, Haye Sakina, Ek Din Kia Hoa, Wo Ghar Say
Safar Par Nikla, Uska Sab Kunba Bhi Quran Ki Hifazat Ko
Chala, Ashkia Nai Usai Pher Dashtai Bala Me Ghaira
Teen Din Tak Use Pani Bhi Mayyassar Na Hoa 
Ho Gaye Aam Har Ek Joro Jafa Us Kai Liye
Or Phir Jang Ka Maidan Saja Us Kai Liye

Haye Sakina(sa) Kahani Suno

Us Kai Ek Baitay Kai Sinay Me Sina Toot  Gaye 
Bhai Kay Hath Katay Tir Laga, Mashk Chidee
Lash Pamal Bhatijae Ki Bhi Maqtal Mai Huwi
Bay Zuban Qatl Hoa, Khasta Churee Us Pay Chali
Us Shahanshah Kai Kunbay Pai Ghareebi Chayee 
Bujh Gaye Sarai Diyai Shameghariban Aye

Haye Sakina Kahani Suno

Khaymai Jalnai Lagay Nazdeek Sitamgar Aaye, 
Us Shahanshah Ki Bachi Nai Tamachai Khaye,
Kaan Zakhmi Howai Khun Ankhon Say Tapka Haye,
Dhundnai Bap Ko Maqtal Mai Wo Kaisay Jai,  
Jaltai Daman Ko Liye Ganjai Shaheedan Mai Gaye, 
Rassi Gardan Mai Bandhi Shaam Kay Zindan Mai Gaye

Haye Sakina Kahani Suno

Phir Sakina (sa) Nai Kaha, Haye Sakina (sa) 
Phir Sakina (sa)  Nai Kaha Rehtai Hain Wo Loog Kahan
Boli Zainab Kai Howay Sab Wo Asirai Zindan
Qissa Akhir Hoa Neend Aayi Na Tumko Meri Jaan
 Boli Ro Ro Kai Sakina (sa) Phuphi Ab Neend Kahan  
Tum To Kehti Thi Kahani Suno Neend Aati Hai
Is Kahani Say Meri Neend Uri Jati Hai

Haye Sakina Kahani Suno

Boli Ro Ro Kai Sakina Ye Mera Qissa Hai
Is Kahani Ka Shahanshah Mera Baba Hai
Neza Jis Kay Laga Sinai Main Mera Bhayya Hai
Mera Asghar Hai La'eeno Nai Jisai Mara Hai 
Bay Rida Tum Ho Phuphi Jaan Meri Jaati Hai
Ye Kahani To Merai Ghar Ki Nazar Aati Hai

Haye Sakina Kahani Suno

Jisko Sinai Pe Shahanshah Kai Neend Aati Thi
Dasht-e Main Haye Chacha Keh Kai Jo Chillati Thi
Jiskai Kaano Say Laho Behta Tha Jo Piyasi Thi
Apnai Baba Ki Jodaye Main Mari Jati Thi
Us Shahanshah Ki Baiti Wo Sakina Mai Hon
Jis Ka Dushwar Huwa Qaid Main Jina Mai Hon

Haye Sakina Kahani Suno

Khatm Jab Shaam Ke Zindaan Mai Kahani Ye Huwi 
Wo Jo Sunti Thi Kahani Wo Sakina Na Rahi 
Thame Zanjeer Naa Kahast Se Utha Ek Qaidi 
Ek Nanni Si Lahad Kapte Haatho Se Bani  
Sar Shahenshah Ka Godi Me Lahu Rota Tha
Wa Hussaina Ka Bas Ek Shor Bapaa Hota Tha

Sakina (sa) Kahani Suno Nadeem Sarwar Noha Lyrics in Urdu Text 

سیاہ رات تھی
زنداں کے در پہ رو رو کے 
سکینہ س کہتی ہے بابا یہ شب ستاتی ہے 

جدائی آپ کی اس پر یہ خاک کا بستر
کہیں اندھیرے  میں بچوں کو نیند اڑاتی ہے 
یہ سن کے زینب س مظلوم  بولی غم نہ کرو
کہانی کہتی ہوں میں اک
سنو سکینہ س سنو

اک شہنشاہ تھا  ہائے سکینہ س
یثرب میں رہا کرتا تھا

اس کے گھر وہ تھا کہ قرآن جہاں اترا تھا
در پہ جبریل ع کا دربان رہا کرتا تھا
اس کا آنگن بھی ستاروں سے بھرا رہتا تھا
اسکے دروازے سے خالی نہ کوئی جاتا تھا
آسماں اس کی سخاوت کی قسم کھاتا تھا

اس کے بابا کو در علم کہا جاتا تھا
ماں نے شہزادی کونین لقب پایا تھا
اس کے بیٹوں میں نظر عکس نبی آتا تھا
بیٹیوں کو گل پاکیزہ کہا جاتا تھا
اس کے اک بھائی کی رگ رگ میں وفا رہتی تھی
اک بہن ساتھ میں سائے کی طرح رہتی تھی

ایک دن کیا ہوا وہ گھر سے سفر پر نکلا
اسکا سب کنبہ بھی قرآں کی حفاظت کو چلا
اشقیا نے اسے پھر دشت بلا میں گھیرا
تین دن تک اسے پانی بھی میسر نہ ہوا
ہو گئی عام ہر اک جور و جفا اس کے لئے
اور پھر جنگ کا میدان سجا اس کے لئے

اس کے اک بیٹے کے سینے میں سینا ٹوٹ گئی
بھائی کے ھاتھ کٹے تیر لگا مشک چھدی
لاش پامال بھتیجے کا بھی مقتل میں ہوئی
بے زناں قتل ہوا خستہ چھری اس پہ چلی
اس شہنشاہ کے کنبے پہ غریبی چھائی
بھج گئے سارے دئئے شام غریباں آئی

خیمے جلنے لگے نزدیک ستمگر آئے
اس شہنشاہ کے بچی نے طمانچے کھائے
کان زخمی ہوئے خون آنکھوں سے ٹپکا ہائے
ڈھونڈنے باپ کو مقتل میں وہ کیسے جائے
جلتے دامن کو لئے گنج شہیداں میں گئی
رسی گردن مٰن بندھی شام کے زندان میں گئی

پھر سکینہ س نے کہا  رہتے ہیں وہ لوگ کہاں 
بولی زینب س کہ ہوئے سب وہ اسیر زندان 
قصہ آخر ہوا نیند آئی نہ تم کو میری جان
بولی رو رو کے سکینہ س پھوپھی اب نیند کہاں
تم تو کہتی تھی کہاںی سنو نیند آتی ہے
اس کہانی سے میری نیند  اڈی جاتی ہے

بولی رو رو کے سکینہ س یہ میرا قصہ ہے
اس کہانی کا شہنشاہ میرا بابا ہے
نیزہ جس کے لگے سینے میں میرا بھیا ہے
میرا اصغر ع ہے لعینوں نے جسے مارا ہے
بے ردا تم ہو پھوپھی جان میری جاتی ہے
یہ کہانی تو میرے گھر کی نظر آتی ہے

جس کو سینے پہ شہنشاہ کے نیند آتی تھی
دشت میں ہائے چچا کہ کے وہ چلاتی تھی
جس کے کانوں سے لہو بہتا تھا جو پیاسی تھی
اپنے بابا کے جدائی میں مری جاتی تھی
اس شہنشاہ کی بیٹی وہ سکینہ س میں ہوں 
جس کا دشوار ہوا قید میں جینا میں ہوں 

ختم جب شام کے زندان  میں کہانی یہ ہوئی
وہ جو سنتی تھی کہانی وہ سکینہ س نہ رہی
تھامے زنجیر نقاحت سے اٹھا اک قیدی 
ایک ننھی سی لحد کانپتے ھاتھوں سے بنی
سر شہنشاہ کا گودی میں لہو روتا تھا
وا حسینا ع کا بس اک شور  بپا  ہوتا تھا
Nadeem Sarwar Top 14 Old Urdu Noha Lyrics
List of Nadeem Sarwar Top 14 Old Urdu Noha Lyrics
Noha Title Sakina (sa) Kahani Suno
Reciter Name Nadeem Sarwar
Poetry By Reehan Azmi
Released On  Nadeem Sarwar YouTube  Channel
Released By Thar Production
Category Noha
Released Year Muharram 2003
Posted By  Noha Lyrics
Soz NA

List of Top 14 Old Urdu Noha Lyrics Of Nadeem Sarwar

  1. Sakina sa Kahani Suno
  2. Aye Syed e Sajjad as  
  3. Dua-e-Kumail
  4. Waqt-e-Rukhsat
  5. Koi Ho Tuo Chale
  6. Mere Sar Pe Lillah
  7. Alam Abbas(a.s)Ka
  8. Akhpala Baba Jana
  9. Allah Ho Akbar
  10. Zindan Se Reha hogaye
  11. Yeh Sham e Ghariban

Aye Syed Sajjad as Nadeem Sarwar Old Urdu Noha Lyrics

Ro Ro Kay Bayan Karti Thi Yea Zainab (sa) Nashad
Aye Syed Sajjad (as)

Ab Hosh Main Awo Ki Hua Ghar Mera Barbad
Aye Syed Sajjad (as)

Maray Gaye Abbas (as) Dilawar Lab-e-Darya
Pamal Hua Ran Main Teray Bap Ka Lasha
Khemay Bhji Jalay Jal Gaya Masoom Ka Jahoola
Jal Jain Ki Jan Apni Bachain Karo Irshad

Main Roti Rahi Akbar (as) Gaye Maray
Bhai Pay Fida Aon O Muhammad(as) Huay Piyaray
Sab Chup Gaye Is Dasht Main Ankhon Kay Sitaray
Chalti Thi Churi Bhai Pay Main Karti Thi Faryad

Bazu Ko Meray Choom Kay Baba Nay Kaha Tha
Ik Roz Rasan Bazu Main Bandaingay Yea Aada
Main Kehti Thi Kuyn Kia Mera Abbas (as) Na Hoga
Reh Reh Kay Muje Rat Yahi Ati Hay Ab Yad

Bazu Katay Abbas (as) Kay Main Daikjh Rahi Thi
Neza Laga Akbar (as) Kay Kamar Shah Ki Jhuki Thi
Asgar (as) Kay Laga Teer Qayamat Ki Ghadi Thi
Hay Zakhm Jo Is Dil Pay Nahi Uska Hay Taza

Ay Lal Chalo Yan Say Ki Zindan Ka Safar Hay
Chadar Ki Jaga Khak Bani Zeenat Sar Hay
Amada Jafa Par Yahan Har Bani Shar Hay
Ab Uth Ky To Dikhlo Zara Quwat Aj.

Hona Hay Abi Tumko Bhi Paband Salasil
Rota Hay Tujhay Daikh Kay Beta Yea Mera Dil
Ab Jaldi Chalo Door Bohut Apni Hay Manzil
Sehni Hay Bohut Tumhko Abi Rah Main Uftad 

Reehan Tu Is Waqt Faqat Itni Dua Kar
Is Majlis Shabbir (as) Main Hathon Ko Utha Kar
 Ay Jan-e-Nabi Rooh Nabi Sibt E Payambar
Mehshar Main Sunao Muje Noha Yea Rahay Yad

Tags

Top Post Ad

Below Post Ad

Send Noha Lyrics
Right click is disabled for this website.