Type Here to Get Search Results !

Manqabat Bibi Sakina Lyrics Milta Hy Sukun Us Ko Ali Akbar Ameen

Manqabat Bibi Sakina sa Lyrics Milta Hy Sukun Us Ko Ali Akbar Ameen 

Kya isme girami ka Karishma hai sakina
Milta hai sukuN usko jo kehta hai sakina

Shabbir tujhe apna sukuN kehte hai bibi
Ye subse bada tera qasida hai sakina

Vo Jiske pasine say Nabi Khalk hue hai
Usse toe tera khoon ka rishta hai sakina

Be mashk Alam saj ke bhi accha nhi lagta 
Abbas say kaisa tera rishta hai sakina

Jo hath teri Madha ki tarif may utthe 
Vo shimr ki Surat pay tamacha hai sakina


Zindan Ko bhi Qaid say Azad Kia hai
Isbaat ka Shahid tera Roza hai sakina

Rukhsar pa Aakar tere hathon ne bataya 
Islam may chehre ka bhi parda hai sakina

Asgar ki Behen Apke Bhai ka ye Jhula 
Hum subki Muradon ka Khazana hai sakina

Abbas ki dargah say Kya kuch na milega 
Fidvi ki Duaon ka wasila Hai sakina
Noha Title Milta Hy Sukun Us Ko
Reciter Name Ali Akbar Ameen
Poetry By Fidvi Lukhnowi
Released On  Ali Akbar Ameen YouTube  Channel
Released By NA
Category Manqabat 
Released Year 2020
Posted By  Noha Lyrics
Soz NA

Top Post Ad

Below Post Ad

Send Noha Lyrics
Right click is disabled for this website.