Joan Rizvi New Noha 2021-2022 Mera Sultan Ya Hussain Lyrics
Mera sultan ya Hussain A.S
●Yaa Hussain A.s Moula hussain a.s ibne Ali aey wali ibne wali Aey sakhi ibne sakhi
Har azadar k lab per hai sadaa
Mera Sultan Ya Hussain A.s
●Tu hai dil e shair e khuda
Me hon tera tu hai mera
Tujhsa nahe koi kahen
Sabse alag sabse judaa
●Dil k dharakne ka sabab
Qibla e mun banda e rab
Sabe alag sabse juda
Moula teri shan ajab
●Tu hai shah e karbobala
Teri bulandi pe kare naaz khuda
Mera Sultan Ya Hussain A.s
●Tera karam sabse ajeeb
Tune likha Hur ka naseeb
Khudse humen dur na rakh
Humko bula apne qareeb
●Hum hein azadar tere
Hum hein wafadar tere
Humko bula karbobala
Hum bane Zawar tere
●Rota hai dil kheta hai dil
Yad isse ati hai jab karbobala
Mera Sultan Yaa Hussain
●Fatwe lage zulm sahe
Phr bhe kabhi hum na ruke
Yeto muqaddar hai k hum
Tere liye khalq hue
●Zinda rahega tera ghum
Uthta rahega ye Alam
Rok sakega na koi
Taaziyadaroon k qadam qadam
●Chalta rahega silsila
Hota hai hojae zamana ye khafa
Mera Sultan Ya Hussain
●Yaa Hussain Yaa Hussain Yaa Hussain
●Kaise shabbir ki noukri chorhden
Isse acha hai hum Zindagi chorhden
Ab bhe mohlat hai ajaa dar e shah per
Aisa na hoke tujhko nabi chorhden
●Ye Alam or ye jhula na bhulengy hum
Ye sabelen lagana na chorengy hum
Syeda se hai wadaa azadaron ka
Hashar tak ab ye wadaa na torengy hum
●Shams Ali tu hai qamar
Noor ka tu noor e nazar
Kon bhala rok saka teri bulandi ki safar
●Tu hai jahan rab hai wahan
Tu hai shahenshah hai zaman
Teri ghulami klye khalq hue dono jahan
●Arsh talak jae sadaa
Gonjay zamee(n) pr jo ye aylan mera
Mera Sulatn Yaa Hussain
●Jaise the ansaar tere
Aese kisi ko na mile
Tune bhujaya jo dia
Chorh k tanha naa gae
●Tere sahaba ka sharaf
Naaz kare Shah e Najaf
Jouno habeeb or zohair
Jab chale maqtal ki taraf
●Koi nahe khof e qaza
Kar gae ye khete hue jaan fidaa
Mera Sultan Yaa Hussain
●Haye ghareeb ul watan
●Jaisa Sultan hai tu waise ghareebi hai teri
Haye wo dashte bala or musibat ki ghari
Tu akela tha tere sath nahe tha koi
Teri tanhai pe khud karbobala roti the
●Gher rakha tha jafaoon me jafakaroon ne
Mil kay mara tujhe 9 (no) laak situm garoon ne
●Haye ghareeb ul watan
●Rait k teelay se zainab ne ye manzar dekha
Teer mare to kisi ne tujhe naiza mara
Tujhko pathar bhe lage khoon tera bheta raha
Jab tu ghoray se gira shimr e laeen agay barhaa
Hath the Fatime Zehra ki teri gardun pr
Jis ghari tujhpe sitamgar ne chalaya khanjar
●Yaa hussain as Yaa Hussain as
●Moula humen teri qasam
Tujhko nahe bhulengy hum
Bhulay nahe karbobala
Dil me hai bs tera he ghum
●Saanse rahen yaa na rahen
Farsh e aza bichta rahe
Bhete rahen ashq e aza
Joan sadaa deta rahe
●Kheta hai zeeshan e Aza
Hashar talak tujhse nibhaengy wafaa
Mera Sultan Ya Hussain
●Mera Sultan Hussain mera iman Hussain
Aey meri Jaan Hussain meri phechan Hussian
Noha Title | Mera Sultan Ya Hussain as |
Reciter Name | Joan Rizvi |
Poetry By | Zeeshan Abidi |
Released On | Joan Rizvi YouTube Channel |
Released By | NA |
Category | Noha |
Released Year | Muharram 1443 |
Posted By | Noha Lyrics |
Soz | NA |
Social Plugin