Noha Hazrat Ali Akbar as Sehra Ali Akbar Ka Lyrics Joan Rizvi Nohay 2021-2022 in Urdu
Seenay main barchi todh di jis dam layeen na
chori faras ki zeen tan e nazneen nay
Akbar kay tan ko chooma sulagti zameen nay
Haye Jawan ka noha suna alameen nay
Seenay main ladlay kay sina dekhti rahi
Akbar tadapta reh gaya Maan dekhti rahi
Manzar dare kahiman say yeh maan dekh rahe hai
Sehra Ali Akbar ka lia Mout khari hai
Allah na dikh layay yeh manzar kisi maan ko
dam todh tay dekhay na koi aise jawan ko
pooshak uroosi hai jo khoon main bhari hai
Sehra Ali Akbar ka lia Mout khari hai
day housla bhai ko ya barchi ko nikalay
shabbir ko dekhay k woh Akbar ko sambhalay
Maqtal main perashan bauhat Binte Ali hai
Sehra Ali Akbar ka lia Mout khari hai
Yeh dekh kay qasid bhi perashan bauhat hai
Aik hath main barchi hai to aik hath main khat hai
Ruksar pa shabbir k ashkoon ki ladi hai
Sehra Ali Akbar ka lia Mout khari hai
Her nakhs qadam bhai ka sughra ka jahan hai
mar jayay gi suntay hi k seenay main sina hai
rastan wahan beemar behan dekh rahe hai
Sehra Ali Akbar ka lia Mout khari hai
Zainab ho kahan aan kay betay ko jagao
Kyu Band hain aankhain zura shana to hilao
kya rooth ta maan baap sa is tarhan koi hai
Sehra Ali Akbar ka lia Mout khari hai
Yeh hosla Muhsin Sir e karbala dekha
berchi main hai uljha hua betay ka kalaja
aur maan yeh khabar suntay hi sajday main giri hai
Sehra Ali Akbar ka lia Mout khari hai
Noha Title | Sehra Ali Akbar as Ka |
Reciter Name | Joan Rizvi |
Poetry By | Muhsin Jaffri |
Released On | Joan Rizvi YouTube Channel |
Released By | NA |
Category | Noha |
Released Year | Muharram 1443 |
Posted By | Noha Lyrics |
Soz | NA |
Social Plugin