Ya Sahib az Zaman Ahmed Raza Nasiri New Noha Lyrics 2021 Muharram 1443
Al ajal waris e Karbala Alajal
Waris e Karbala Alajal
Hai aapki nigaaho me ashoor ka samaan, Ya Sahib az zaman
Ek roz me ujar gaya Zehra ka gulsitaan, Ya Sahib az zamaan
●Kiya waqt e imtihaan tha ek borhe baap par
Barchi pisar ke seene se khenchi gae magar
Dil me Hussain ke gham e Akbar as ki hai sina'a
●Bazu kate furaat pe mashkiza chid gaya
Khud bhi gire zameen par thanda alam hua
Abbas as qatl hote rahe hain kahan kahan
●Baalo me tishnaa kaam ke sehra ki gard hai
Rista hai khoon zakhm se chehre pe dard hai
Lipta hua hai baap ke seene se be zubaan
●Larzaan zameen or falak the dohaai se
Sattar qadam thi door behen apne bhai se
Piyaase gale pe Shah ke khanjar hua rawaan
●Khaime jale to lut gaya ahle haram ka ghar
Tasbeeh jaise toot ke girti hai khaak par
Bikhri thi aise dasht me Zehra ki betiyaan
●Jo sath maon behno ke darbaar tak gaya
Wo sabr se thaka nahi, har zulm thak gaya
Tumko sadae deti hain Abid ki beriyaan
●Khoon rorahe hain aap bhi gaibat me Ya Imam
Kab aake lainge Fatima Zehra ka intiqaam
Kab se hai intizaar me pehlo shakista maa
●Sun lijie huzoor takkalum ki iltija!
Shiraza paara paara na ho meri qoum ka
Haiyya allal Hussain ki ab dijie azaan
Noha Title | Ya Sahib as Zaman |
Reciter Name | Ahmed Raza Nasiri |
Poetry By | Mir Takallum Mir |
Released On | Ahmed Raza Nasiri YouTube Channel |
Released By | NA |
Category | Noha |
Released Year | Muharram 1443 |
Posted By | Noha Lyrics |
Soz | NA |
Social Plugin