Ghame Hussain Dilo’n Ko Sukoon Deta Hai Lyrics Mohammed Abbas Karim New Noha Imam Hussain as 2021-2022
Har Ek Matami Majlis Me Roke Kehta Hai
Ghame Hussain as Dilo’n Ko Sukoon Deta Hai
1 Qasam Khuda Ki Azadar E Shahe Karbobala
Is Liye To Kabhi Be Sukoo’n Nahi Rehta
Yeh Kehke Farshe Aza Ghar Me Woh Bichata Hai
2 Ye Zindagi Hai Yehi Dil Yehi Hai Jaan Meri
Ghame Hussain Se Barh Kar Nahi Hai Koi Khushi
Yeh Uska Gham Hai Ke Jiska Sukoo’n Sakina Hai
3 Agar Yeh Gham Nahi Hota To Hum Kidhar Jaate
Jawaan Beton Ke Laasho’n Pe Baap Marjaate
Har Ek Gham Me Humara Yehi Sahara Hai
4 Tumhei’n Hussain as Bulaaen Jab Apne Roze Per
Ay Bawafa Ke Wafadaro’n Dekhna Jaa Kar
Haram Me Baith Ke Kitna Sukoon Milta Hai
5 Har Ek Hussaini Yeh Kehta Hai Khud Zamane Se
Na Rok Paaega Koi Yeh Gham Manane Se
Isi Ke Waaste Bibi Ne Humko Manga Hai
6 Zameen Waalo’n Ke Humrah Aasmaa’n Waale
Ghame Hussain Manate Hai’n Do Jahaa’n Waale
Naseeb Waalo’n Ko Yeh Gham Naseeb Hota Hai
7 Karam Yeh Humpe Hai Zeeshan Aur Karim E Aza
Laqab Mila Hai Humei’n Bib Fatima Ki Dua
Baland Itna Bhala Kab Kisi Ka Rutba Hai
Noha Title | Ghmae Hussain as Dilon Ko Sukoon Daita Hay |
Reciter Name | Muhammad Abbas Karim |
Poetry By | Zeeshan Abidi |
Released On | MAK YouTube Channel |
Released By | NA |
Category | Noha |
Released Year | Muharram 1443 |
Posted By | Noha Lyrics |
Soz | NA |
Social Plugin