Mazloom Karbala Ki Azadar Aa Gayi Noha Lyrics Download Mir Hasan Mir New Nohay Online
Shaam Haye Shaam
Ghairat e Mustafa Be Rida Aa gayi
Binte Shere Khuda Be Rida Aa gayi
Mazloome Karbala Ki Azadar Aa gayi
Zainab Barehna Sar Jo
Zainab Barehna Sar Jo Bazaar Aa gayi
Mazloome Karbala Ki Azadar Aa gayi
Talwar Ke Bagair Ladungi me Aysi Jang
Khutbe Padhungi Ayse Ke Dushman Bhi Honge Tang
Dekho Hussain Tum Bhi Hamare Jihad Ko
Zainab Hai Aj Ban ke
Zainab Hai Aj Ban ke Alamdar Aa gayi
Mazloome Karbala Ki Azadar Aa gayi
Zainab ne Zindagi me Na dekhi Koi Kushi
Roti Huwi Woh Sham Ki Raahon me Mar gayi
Tanha Lahad me Bhai Ko Rone ke Waste
Sarkar Panjatan Ki
Sarkar Panjatan Ki Wo GamKhaar Aa gayi
Mazloome Karbala Ki Azadar Aa gayi
Jis Dum Utha ye Shor ke Pyase Ko Mar Lo
Jaldi Karo Nabi ke Nawase Ko Mar Lo
Sun Kar ye Shor Dhundti Tanha Hussain Ko
Maqtal me Binte Haidere
Maqtal me Binte Haidere Karrar Aa gayi
Mazloome Karbala Ki Azadar Aa gay
Chehlum Ko Karbala me Jo Pohancha Tha Qafla
Zainab ne Kah ke Nake se Khud Ko Giraya Tha
Badle Chuka ke Baba ke Saare Mere Hussain
Chahlum Manane Apki
Chahlum Manane Apki Zawaar Aa gayi
Mazloome Karbala Ki Azadar Aa gayi
Mehshar ke Roz Ayegi Jab Nayebe Batool
Tanweer ye Kahen Ge Khuda se Mere Rasool
Zinda Rakhai Hai Jis ne Irade Hussain ke
Ya Rab Woh Mairay Deen Ki Madadgaar Aa gayi
Mazloome Karbala Ki Azadar Aa gayi
Noha Title | Mazloom Karbala Ki Azadar Aa Gayi |
Reciter Name | Mir Hasan Mir |
Poetry By | Tanveer Shah |
Released On | Mir Hasan Mir YouTube Channel |
Released By | NA |
Category | Noha |
Released Year | Muharram 1440 |
Posted By | Noha Lyrics |
Soz/Composition | Ustad Akbar Katri Bawa |
Social Plugin