Type Here to Get Search Results !

Tu Dekh Nahi Pata Jabir Lyrics Arbaeen Chehlum Noha Mesum Abbas

Tu Dekh Nahi Pata Jabir Lyrics Arbaeen Chehlum Noha Mesum Abbas Download Online Nohay

 Acha hai teri beenai nahi,

Tu dekh nahi paata jabir

Tu dekh nahi paata jabir

Acha hai teri beenai nahi,

Tu dekh nahi paata jabir

Tu dekh nahi paata jabir



Thi binte ali bazaro'n mein

Thi binte ali bazaro'n mein

Be maqna o be parda jabir

Tu dekh nahi paata jabir

Acha hai teri beenai nahi,

Tu dekh nahi paata jabir



Jabir ye zameene karbobala

Zahra ka yaha'n gulshan bikhra

Jis jaa pe khade ho tum jabir

Ghode se yahee'n abbas gira

Pyaasi thi bateeji khaime mein

Pyaasi thi bateeji khaime mein

Be baazu hua saqqa jabir

Tu dekh nahi paata jabir

Acha hai teri beenai nahi,

Tu dekh nahi paata jabir



Atthara baras ka bhai mera

Seene mein lagi naize ki ani

Jabir ye sunoge kis tarha

Shabbir ki bhi beenayi gayi

Bus ek qadam hi chalte the

Bus ek qadam hi chalte the

Girte the mere maula jabir

Tu dekh nahi paata jabir

Acha hai teri beenai nahi,

Tu dekh nahi paata jabir



Akbar, asghar, qasim na rahe

The aun o mohammad ke laashe

Is par bhi ruki na zoro jafa

Sabke laashe pamaal hue

Shabbir pe chalta tha khanjar

Shabbir pe chalta tha khanjar

Zainab thi sare khaima jabir

Tu dekh nahi paata jabir

Acha hai teri beenai nahi,

Tu dekh nahi paata jabir



Phir shaam e ghareeba aa pohchi

Khaimo ko jalaya aada ne

Phupiyo'n ki ridao'n ko meri

Naizo'n se utaara aada ne

Jalta tha sakina ka kurta.

Jalta tha sakina ka kurta.

Asghar ka kahi'n jhula jabir

Tu dekh nahi paata jabir

Acha hai teri beenai nahi,

Tu dekh nahi paata jabir


Aaghaz e imamat tha mera

Tohfe mein mile zanjeer o rasan

Poshak yateemi ki pehne

Zakhmo se bhara tha mera badan

Gardan ka lahu pairo se baha.

Gardan ka lahu pairo se baha.

Ye waqt bhi tha aaya jabir

Tu dekh nahi paata jabir

Acha hai teri beenai nahi,

Tu dekh nahi paata jabir



Bazaar ka haal suno jabir

Pathhar the kabhi shole the kabhi

Ummat thi tamashayi saari

Aur aale mohammad the qaidi

Aur habshi ghulamo ki tarha

Aur habshi ghulamo ki tarha

Bazaaro'n mein khencha jabir

Tu dekh nahi paata jabir

Acha hai teri beenai nahi,

Tu dekh nahi paata jabir



Bazaar hua jab khatm to phir

Darbaar qayamat aaya tha

Darbaar sharabi majme mein

Zainab ko pukara jaata tha

Paigham e hussaini ki khatir

Paigham e hussaini ki khatir

Jaise wo rahi zinda jabir

Tu dekh nahi paata jabir

Acha hai teri beenai nahi,

Tu dekh nahi paata jabir



Hasrat thi rihai ki jisko

Zinda'n se reha wo ho na saki

Darti thi andhere se bacchi

Turbat bhi andhere mein hi bani

Zinda'n mein sakina ka haaye

Zinda'n mein sakina ka haaye

Haatho'n pe tha jab laasha jabir

Tu dekh nahi paata jabir

Acha hai teri beenai nahi,

Tu dekh nahi paata jabir



Salman karega kaise bayaa'n

Meesum jo mere maula ne kaha

Beenai meri rukhsat na hui

Ankho'n se magar khoo'n itna baha

Aankho'n ke lahu se surkh hua

Aankho'n ke lahu se surkh hua

Tha shaam ka sab rasta jabir

Tu dekh nahi paata jabir

Acha hai teri beenai nahi,

Tu dekh nahi paata jabir



Acha hai teri beenai nahi,

Tu dekh nahi paata jabir

Acha hai teri beenai nahi,

Tu dekh nahi paata jabir

Acha hai teri beenai nahi,

Tu dekh nahi paata jabir.
Noha Title Tu Daikjh Nahi Pata Jabir
Reciter Name Mesum Abbas
Poetry By Salman  Azmi
Released On  Mesum Abbas YouTube  Channel
Released By NA
Category Noha
Released Year Muharram 1440
Posted By  Noha Lyrics
Soz/Composition Raza Shah

Top Post Ad

Below Post Ad

Send Noha Lyrics
Right click is disabled for this website.