Complete List of Joan Rizvi 2021-2022 Noha Lyrics in Urdu
Noha Title | Poetry By | Released Date |
---|---|---|
Sehra Ali Akbar Ka | Muhsin Jaffry | August 14, 2021 |
Mera Sultan Ya Hussain | Zeeshan Abdi | August 10, 2021 |
Tadfeen e Bani Hashim | Allama Majid Raza Abidi | August 22, 2021 |
Kon Ab Sar Pe Mere Hath Rakhai | Zeeshan Abdi | May 1, 2021 |
Roti Ankhon Se ya Sab | Qasim Ali Qasim | January 11, 2021 |
1. Sehra Ali Akbar Ka Lyrics
Seenay main barchi todh di jis dam layeen na
chori faras ki zeen tan e nazneen nay
Akbar kay tan ko chooma sulagti zameen nay
Haye Jawan ka noha suna alameen nay
Seenay main ladlay kay sina dekhti rahi
Akbar tadapta reh gaya Maan dekhti rahi
Manzar dare kahiman say yeh maan dekh rahe hai
Sehra Ali Akbar ka lia Mout khari hai
Allah na dikh layay yeh manzar kisi maan ko
dam todh tay dekhay na koi aise jawan ko
pooshak uroosi hai jo khoon main bhari hai
Sehra Ali Akbar ka lia Mout khari hai
day housla bhai ko ya barchi ko nikalay
shabbir ko dekhay k woh Akbar ko sambhalay
Maqtal main perashan bauhat Binte Ali hai
Sehra Ali Akbar ka lia Mout khari hai
Yeh dekh kay qasid bhi perashan bauhat hai
Aik hath main barchi hai to aik hath main khat hai
Ruksar pa shabbir k ashkoon ki ladi hai
Sehra Ali Akbar ka lia Mout khari hai
Her nakhs qadam bhai ka sughra ka jahan hai
mar jayay gi suntay hi k seenay main sina hai
rastan wahan beemar behan dekh rahe hai
Sehra Ali Akbar ka lia Mout khari hai
Zainab ho kahan aan kay betay ko jagao
Kyu Band hain aankhain zura shana to hilao
kya rooth ta maan baap sa is tarhan koi hai
Sehra Ali Akbar ka lia Mout khari hai
Yeh hosla Muhsin Sir e karbala dekha
berchi main hai uljha hua betay ka kalaja
aur maan yeh khabar suntay hi sajday main giri hai
Sehra Ali Akbar ka lia Mout khari hai
2. Mera Sultan Ya Hussain Lyrics
Mera sultan ya Hussain A.S
●Yaa Hussain A.s Moula Hussain a.s ibne Ali aey wali ibne wali Aey sakhi ibne sakhi
Har azadar k lab per hai sadaa
Mera Sultan Ya Hussain A.s
●Tu hai dil e shair e khuda
Me hon tera tu hai mera
Tujhsa nahe koi kahen
Sabse alag sabse judaa
●Dil k dharakne ka sabab
Qibla e mun banda e rab
Sabe alag sabse juda
Moula teri shan ajab
●Tu hai shah e karbobala
Teri bulandi pe kare naaz khuda
Mera Sultan Ya Hussain A.s
●Tera karam sabse ajeeb
Tune likha Hur ka naseeb
Khudse humen dur na rakh
Humko bula apne qareeb
●Hum hein azadar tere
Hum hein wafadar tere
Humko bula karbobala
Hum bane Zawar tere
●Rota hai dil kheta hai dil
Yad isse ati hai jab karbobala
Mera Sultan Yaa Hussain
●Fatwe lage zulm sahe
Phr bhe kabhi hum na ruke
Yeto muqaddar hai k hum
Tere liye khalq hue
●Zinda rahega tera ghum
Uthta rahega ye Alam
Rok sakega na koi
Taaziyadaroon k qadam qadam
●Chalta rahega silsila
Hota hai hojae zamana ye khafa
Mera Sultan Ya Hussain
●Yaa Hussain Yaa Hussain Yaa Hussain
●Kaise shabbir ki noukri chorhden
Isse acha hai hum Zindagi chorhden
Ab bhe mohlat hai ajaa dar e shah per
Aisa na hoke tujhko nabi chorhden
●Ye Alam or ye jhula na bhulengy hum
Ye sabelen lagana na chorengy hum
Syeda se hai wadaa azadaron ka
Hashar tak ab ye wadaa na torengy hum
●Shams Ali tu hai qamar
Noor ka tu noor e nazar
Kon bhala rok saka teri bulandi ki safar
●Tu hai jahan rab hai wahan
Tu hai shahenshah hai zaman
Teri ghulami klye khalq hue dono jahan
●Arsh talak jae sadaa
Gonjay zamee(n) pr jo ye aylan mera
Mera Sulatn Yaa Hussain
●Jaise the ansaar tere
Aese kisi ko na mile
Tune bhujaya jo dia
Chorh k tanha naa gae
●Tere sahaba ka sharaf
Naaz kare Shah e Najaf
Jouno habeeb or zohair
Jab chale maqtal ki taraf
●Koi nahe khof e qaza
Kar gae ye khete hue jaan fidaa
Mera Sultan Yaa Hussain
●Haye ghareeb ul watan
●Jaisa Sultan hai tu waise ghareebi hai teri
Haye wo dashte bala or musibat ki ghari
Tu akela tha tere sath nahe tha koi
Teri tanhai pe khud karbobala roti the
●Gher rakha tha jafaoon me jafakaroon ne
Mil kay mara tujhe 9 (no) laak situm garoon ne
●Haye ghareeb ul watan
●Rait k teelay se zainab ne ye manzar dekha
Teer mare to kisi ne tujhe naiza mara
Tujhko pathar bhe lage khoon tera bheta raha
Jab tu ghoray se gira shimr e laeen agay barhaa
Hath the Fatime Zehra ki teri gardun pr
Jis ghari tujhpe sitamgar ne chalaya khanjar
●Yaa hussain as Yaa Hussain as
●Moula humen teri qasam
Tujhko nahe bhulengy hum
Bhulay nahe karbobala
Dil me hai bs tera he ghum
●Saanse rahen yaa na rahen
Farsh e aza bichta rahe
Bhete rahen ashq e aza
Joan sadaa deta rahe
●Kheta hai zeeshan e Aza
Hashar talak tujhse nibhaengy wafaa
Mera Sultan Ya Hussain
●Mera Sultan Hussain mera iman Hussain
Aey meri Jaan Hussain meri phechan Hussian
3. Tadfeen e Bani Hashim Lyrics
Baraye dafan hussain shaheed tashna kam
Jab aye terah muharam ko mojzay say imam
Kahein pay dekha kay hai sir perhi hai lash pidar
Kahein pay qasim o akbar kahein ali asghar
Tamam aza kay maqtal main lashay bekhray thay
Yeh hal dekh kay dil ko pakar kay baith gaye
Baba or bhai ke lasho kay darmiya
Ankho say khou bahatay thay sajjad na tawa
Bola bani asad say yeh shabir ka pisar
Mere madad karo main hun mazloom o pidar
Lashay perhay huay hein jo karbal ke rait per
Dafnao mere sath tum in lasho ko yahan
Baba ke or bhai ke lasho kay darmiya
Pehlay othaya betay nay wo lasha e pidar
Unees saw thay zakham tanay pash pash par
Baba ko rakh kay qabar main bola yeh pisar
Baba phiraye jate hein balway main bibia
Baba ke aur bhai lasho kay darmiya
Shaklay nabi kay senay pay naizay ka zakham tha
Pehlu main neza naizay main dil tha laga hua
Besakhta lipat gaye lashay say aur kaha
Balway main be rida hoi akbar tumhari Ma
Baba ke aur bhai ke lasho kay darmiya
Maqtal main ek ghatri pay us dam pari nazar
Usko larastay hato say dekha jo khol kar
Tukray thay us main lasha e qasim ke khou pay tar
Khud ban gaye yeh dekh kay abid ke hichkiya
Baba ke aur bhai ke lasho kay darmiya
Lashay ke tukray jorh kay tab qabar main rakha
Abid he janay guzri thi abid kay dil pay kya
Dulha ko rakh kay ganjay shaheda main yeh kaha
Tukray yun he kaleja shabar kay thay ayah
Baba ke aur bhai ke lasho kay darmiya
Bolay bani asad kay huay dafan sab shaheed
Sajjad bolay ek hai sadma bohat shadeed
Hona hai dafan ek wo lasha abhe mazeed
Sahil pay so raha hai haram ka nega bah
Baba ke aur bhai ke lasho k darmiya
Pohchay saro ko peet tay ghazi ke lash par
Rakhay thay do katay huay bazu idhar udhar
Dekha chacha ke lash hai puri laho main tar
Rotay thay chum chum kay har zakham ka nesha
Baba ke aur bhai ke lasho kay darmiya
Ayy joan o majeed us ghari sajjad nay kaha
Ay ammu dekho kat gaya shabir ka gala
Phupio ke aur maow ke cheni gaye rida
Yeh baeen sun kay karbobala thy dhua dhua
Baba ke aur bhai ke lasho k darmiya
4.Kon Ab Sar Pe Mere Hath Rakhai Ga Baba Lyrics
Band ankhein hoi Haider jo chalay dunya say
tha qayamat ka sama gham tha sab he chehro pay
Betian bap kay qadmo say jo lipteen ro kay
Bain zainab nay yeh baba kay janazay pay kiye
Kon ab sir pay mere hat rakhay ga baba
yad bohat ayega ap ka chehra baba
Ma agar na ho to wo surat e ma hota hai
baap beti kay liye sara jahan hota hai
aj lagta hai mere lut gaye dunya baba
Samnay bethi hun ek bar to ankhein kholo
kyun ho khamosh fakhat itna bata do mujh ko
na saha jayega zainab say yeh sadma baba
Mere ronay ke sada sun kay taraptay hein sab he
kaise kufay kay yatemo ko samhalay ga koi
hogaye aj to zainab bhe yatema baba
Hayee yeh dekh kay dil ghum say phata jata hai
kyun amamay ke jaga sir pay kafan bandha hai
tum ko is hal main pehlay to na dekha baba
Kitna manoos haai wo tum say tumhein sab hai khabar
mere abbas ko senay say laga lo uth kar
dur betha hai tarapta hai akela baba
Shan e chumay to bataya kay bandhay ge rassi
yeh bhe batlaya kay chadar bhe chenay ge mere
kitna chalna hai mujhe yeh na bataya baba
Jab bhe yaad ayegay yeh zakham bohat roungi
apnay maa baap ke ghurbat na kabhe bholungi
sir yahan shak hai wahan pehlo shikasta baba
Kardia band kafan bhai hasan nay rukh say
bhaiya shabir churatay hein janazay say mujhe
kitna muskill hai mera tumsay bicharna baba
Kon Ab Sar Pe Mere Hath Rakhai Ga Baba Lyrics in Urdu
روتی آنکھوں سے یہ سب دیکھ رہی ہے زہرا س
کلمہ گو بیٹھی ہے خاموش کھڑی ہے زہرا س
مجھ پہ کیا گزری قیامت کی گھڑی بھی دیکھیں
میرے بالوں میں میرے بابا سفیدی دیکھیں
جھک گئی میری کمر اور ضعیفی دیکھیں
کیسے پہچانے گی بابا کہ یہی ہے زہرا س
ایک ہی پیشی نے یہ حال کیا ہے میرا
کیسے گزرے گی اسیری میں سفر زینب س کا
چھین لی جاےئگی جب شام غریباں میں ردا
تھامے چادر کو یہی سوچ رہی ہے زہرا س
در جلا ہو گیا پہلو بھی شکسستہ بی بی
آپکو مارا ہے قنفض نے طمانچہ بی بی
بن گیا آپکا مقتل یہ مدینہ بی بی
آپ پر ٹوٹی قیامت کی گھڑی ہے زہرا س
کوئی مستور نہ مشکل میں خدایا آئے
فاطمہ س دل کے سبھی درد کیسے بتلائے
ماں کبھی بیٹے کے ہوتے ہوئے نی طمانچے کھائے
غم تیرے سینے میں نیزے کی انی ہےزہرا س
ہے گرفتار علی ع چلتی ہے زہرا س پیچھے
ھاتھ پہلو پہ رکھے اور لڑکھڑاتے ہوئے
بین کرتے ہوئے گرتی ہے ردا کو تھامے
ہر قدم ساتھ یوں حیدر ع کے چلی ہے زہرا س
یہ طمانچے کی وراثت توسکینہ س لے گی
کیل بن جائیگی اکبر ع کے جگر میں برچھی
خم یہ سجاد ع کو زینب س کو ملے گی پیشی
اپنی اولاد میں غم بانٹ چکی ہے زہرا س
اس طرح بی بی تیرا سجدہ ادا ہوتا ہے
زخم کا خون مصلے پہ بہا جاتا ہے
ہاتھ ہر وقت ہی پہلو پہ رکھا رہتا ہے
کیسے تصویر مصائب کی بنی ہے زہرا س
صبر قاسم یوں سر غیب کیا ہے اس نے
تیغ پر سوچ کے ہاتھوں کو رکھا ہے اس نے
کیوں نہیں بدلا ابھی تہرا لیا ہے اس نے
تیرے مہدی عجل کو ازیت یہبڑی ہے زہرا س
Also Read:Kon Ab Sar Pe Mere Hath Rakhai Ga Baba
Social Plugin