Fatima Mazlooma Ayam e Fatimiyah 1443 New Noha
Fatema s.a Fatema s.a Mazlooma
Sayyada s.a Sayyada s.a Maghmooma
Salaami dete the jis dar pe roz Paighambar (s.a.w),
Jaha'n pe bante the darbaan khud malak aakar
Jaha'n ki khaak thi surma baraye ahle nazar,
Faqeer ban ke jaha'n khush the Buzar (r.a)o Qambar (r.a)
Hai zad pe sholo'n ki baade Rasool (s.a.w)e haq wahi dar ,
Nabi (s.a.w) ke baad waha'n zulm aisa dhaya gaya
Rasool(s.a.w) e paak ki beti ka ghar jalaya gaya.
Jaha'n pe Hoor o Malaik salaam karte the , Wo ghar ke jiska Nabi (s.a.w) ehteram karte the
Wo ghar jaha'n pe Farishte qayam karte the , Jaha'n pe Hazrat e Jibreel (a.s)kaam karte the
Ali a.s jaha'n pe basar subh o shaam karte the
Pase Rasool (s.a.w) usi ghar se uth raha hai dhuwa'n
Falak shigaaf hai binte Nabi (s.a.w) ki aaho fugha'n
Adu ne dhayi qayamat Batool (s.a) ke ghar pe , Giraya jalta hua dar Nabi (s.a.w) ki dukhtar pe
Na socha qabr me guzregi kya Payambar(s.a.w) pe , Ghamo'n se sakta hai Shabbeer(a.s) aur Shabbar(a.s) pe,
Jafayen hote hue dekhte hain maadar pe
Nabi (s.a.w) ki ladli beti pe wo sitam tuta,
Shaheed ho gaye Mohsin (a.s) shikam me wawaila
Uthi Batool (s.a.) jo ghash se ajeeb manzar tha,
Lebas bibi ka Mohsin (s.a) ke khoon se tar tha,
Shikasta pasli thi or samne ye manzar tha,
Sitam tha Ahle Madina guluwe Haider a.s tha,
Jafa thi nargha tha aur Fatema s.a ka shauhar tha
Batool (s.a) galiyon me fariyad karti aayi thi
Ali (a.s) ko teghe adu se bacha ke layi thi
Sadaye subbat alaiyya thi aur Madina tha,
Sitam the Fatima Zahra (s.a) thi aur Madina tha,
Nabi s.a.w ki aal thi iza thi aur Madina tha
Nabi s.a.w ki ek yatima thi aur Madina tha
Jawan saala zaifa thi aur Madina tha
Har ek zulm ko binte Rasool s.a.w sahti thi
Wo apna dard Ali a.s se magar na kahti thi
Uthai kitni musibat Rasool (s.a.w)ki dukhtar ,
Hayat uski guzarti thi zulm sah sah kar,
Guzari umr wilayat ki ban ke sina sipar,
Sukoon maut ne usko to de diya tha magar,
Wo mar ke kar gai soona Abu Turab a.s ka ghar,
Ali a.s ke bachche hain or Fatima s.a ka matam hai
Ali a.s bhi toot gaye jissey ye wahi gham hai
Lahed zamane se Zahra s.a ki kyon chhupate hain
Ye kis liye kayi qabren Ali a.s banate hain
Janaz Zahra s.a ka kyon raat me uthate hain
Ye kis khayal se rah rah ke kanp jate hain
Yateem apni sadaon ko kyon dabate hain
Badan ko or aziyat kahin na di jaye
Hai khauf lash ki be hurmati na ki jaye
Aduwe aal se rishton ko jodne walon
Batao daman e itrat ko chhodne walon
Nabi s.a.w ki aal se rukh apna modne walon
Batao daste adalat marodne walon
Rasool s.a.w zadi ki pasli ke todne walon
Nabi s.a.w ko hashr me munh kis tarah dikhaoge
Nabi s.a.w ki beti ko tum kya rula ke paoge
Nabi s.a.w ki aal se itna dilon me kina hai
Shabih aaj bhi Zahra s.a pe zulm hota hai
Jo kalma goh the unhi ne mazar toda hai
Lahed pe Bibi s.a ki qubba hai or na saya hai
Salam karne pe binte Nabi s.a.w k pahra hai
Hazeen aaj bhi qalbe Rasool s.a.w hai Asghar
Musibaton me ghiri hai Rasool s.a.w ki dukhtar
Noha Title | Fatima Mazlooma |
Reciter Name | Shabih Gopal puri |
Poetry By | Maulana Nadeem Asghar |
Released On | Ismat TV YouTube Channel |
Released By | NA |
Category | Noha |
Released Year | Ayam e Fatimiyah 1443 |
Posted By | Noha Lyrics |
Soz | NA |
Must Read: Ap ka Baad Maray Dil ko Dukhaya
Social Plugin