Type Here to Get Search Results !

Madar ki Siskiyan Ayam e Fatimiyah 2022 new Noha

 Madar ki Siskiyan Ayam e Fatimiyah 2022 New Noha

BHOOLI NAHI HASSAN A.S KO MADAR KI SISKIYAN BHI QUNFUZ KA TAZIYANA , AUR NEEL KA NISHAN BHI Uthti thi hath Rakh key kandhoun pe wo hamaare Chalti thi Ghar mein Amma dewaar key sahare Pehlo mei zakhm Kaari,tooti thi pasliyan bhi Nana ne ehtraaman Jin k lie thy bosey Sehte rahe hain durre us ke wo hath Jin se Peesi Hain Zindagi Bhar Amma Ney chakiyaan BHi Khairun Nisa pe kaise wo sakhtiyoun key din thy Gosha nasheen shohar,bete sagheer sin thy Dete thy darr pe zalim , AA AA ke dhamkiyan BHI Mur mur key bebasii se beton Ko Dekhti thi Ro ro ke Baba Jaan Ko patke se kenchti thi Sheer e khuda Ko daali logon ne reesmaan BHI Deti rahi khari wo ghanton taweel khutba Haq me utha na phir Bhi kursi nasheen majma Kar ke saanad ke tukre hanste thy hukmuraan BHI Kese ghaiyoor beta ab us Gali me jae MADAR giri jahan par Khaa Kar tammacha haye Binte rasool Ko dein zaalim ne jhirkiyan BHI Ummat ki bebasii Ka ehwaal sub Sunaa Kar Behosh hogai maa qabre Nabi pe jaa kr Uthti rahi lehad se nana ki hichkiyan BHI Darwaza phir Hassan ki yadoun me jal Raha hai Fizza mujhe sambhalo Mohsin Nahi bacha hai Guthti rahi sadaain , Bhartaa Raha dhowaan bhi

Noha Title Madar ki Siskiyan
Reciter Name Ahmed Raza Nasri
Poetry By Sayeda Naqvi
Released On  Ahmed Raza Nasri YouTube  Channel
Released By NA
Category Noha
Released Year Ayam e Fitimiyah 1443
Posted By  Noha Lyrics
Soz NA

Top Post Ad

Below Post Ad

Send Noha Lyrics
Right click is disabled for this website.