Zahra ko ha Bohot Mara Ayam e Fatimiyah 2022 Noha
Likhnay Walay Nay Khat Mai Yeh Likha
Hum Nay Zahra ko Hai Bhot Mara
Lay Liya Youn Ghadeer Ka Badlaa
Hum Nay Zahra ko Hai Bhot Mara
Jab Wo Haq Mangnay Ko Ai Thi
Sath Betay Gawah Laai Thi
Hum Nay Inkar Kar Dia Sub Ka
Hum Nay Zahra ko Hai Bhot Mara
Bhet Jaye Tu Uth Nahi Sakti
Bint e Sarwar Hai Is Qadar Zakhmi
Kar Nahi Pati Fatima Sajda
Hum Nay Zahra ko Hai Bhot Mara
Ro ba Ro Jab Pidar Kay Jayegi
Apna Chehra Dikha Na Payegi
Uska Chehra Hai Is Qadar Neela
Hum Nay Zahra ko Hai Bhot Mara
Jalty Dar ko Gira Dia Us Per
Or Daar Say Guzar Gaya Lashkar
Uska Paamaal Hogaya Betaa
Hum Nay Zahra ko Hai Bhot
Choomtay Thay Jisay Rasool e Anaam
Jis Say Karti Thi Wo Ali ko Salam
Hath Phelu Say Wo Nahi Utht taa
Hum Nay Zahra ko Hai Bhot Mara
Khoon Kay Thay Wahan Zamee'n Pay Nisha'n
Gir Gai Thi Jahan Hussain Ki Maa'n
Khoon Itna Tha Pasliyo Say Bahaa
Hum Nay Zahra ko Hai Bhot Mara
Koi Thokar Say Marta tha Usay
Koi Hasta Tha Mar Kar Durray
Youn Pidar Ka Usay Dia Pursaa
Hum Nay Zahra ko Hai Bhot Mara
Apny Mohsin Ko Yad Karti Hai
Hath Zainab ka Thamay Chalti Hai
Usko Ab Kuch Nazar Nahi Ataa
Hum Nay Zahra ko Hai Bhot Mara
Noha Title | Zahra ko ha bohot Mara |
Reciter Name | Syed Muhammad Shah |
Poetry By | Mohsin Jafri |
Released On | Syed Mohammad Shah YouTube Channel |
Released By | NA |
Category | Noha |
Released Year | Ayam e Fitimiyah 1443 |
Posted By | Noha Lyrics |
Soz | NA |
Social Plugin