Type Here to Get Search Results !

Qafila sath tah Asero ka Iqbal Hussain Noha

 Qafila sath tah Asero ka Iqbal Hussain Noha Lyrics

Qafila sath tha aseeron ka jab ya Bazare Sham sa guzra
Haye Mangta raha ro kr 
Na mili koi rida

Haye kitna ghareeb ha Sajjad,Binte Zahra kay sar chupanay ko
Haye Mangta raha ro kr 
Na mili koi rida

Har qadam pr tha jashn ka manzar Betiyan thi Ali ki be chadar
Sang bhi raah ma tha barsatay,ya sitam kab bhool paye ga
Haye Mangta raha ro kr 
Na mili koi rida

Nanhay hathon ma thi rasan bandhi,pyas thi bebasi yatime thi
Dakh kr haal ya Sakina ka,Khoon ankhon sa ya bahata tha
Haye Mangta raha ro kr 
Na mili koi rida

Haal pr berida aseeron kay,Rooh e Zahra bhi sath thi roti 
Girta naizay sa sare Abbas,dakh kr ya sama Qayamat ka
Haye Mangta raha ro kr 
Na mili koi rida

Aree Paun ma toq gardan ma,Pusht zakhmi safar bhi wo pedal
Berida sath sath thi behnain,asaa mazloom phir nahi dekha
Haye Mangta raha ro kr 
Na mili koi rida

Haye kitna ghareeb ha Sajjad,Binte Zahra kay sar chupanay ko
Haye Mangta raha ro kr 
Na mili koi rida

Noha Title Qafila sath tha asero ka
Reciter Name Iqbal Hussain
Poetry By Ghulam Mehdi Shahid
Released On  Imperial Production Gilgit Baltistan YouTube  Channel
Released By NA
Category Noha
Released Year Muharram 1440
Posted By  Noha Lyrics
Soz NA

Top Post Ad

Below Post Ad

Send Noha Lyrics
Right click is disabled for this website.