Type Here to Get Search Results !

Aisa alam hai kahaan Noha Lyrics in Urdu

 Aisa alam hai kahaan Noha Lyrics in Urdu

Ya Abbas

Aisa alam hai kahaan, aisa jawaan hai kahaan 

Ye hai Abu Talib ka gharana, Is pe Khuda ka khas karam hai,
Sare Arab me sare ajam me, kisko mila ye jaaho hasham hai
in me koi yasin-o-muzammil, in me koi sardar-e-iram hai 
Uski alag hi shan hai maula, jisko mila haider ka alam hai
Aisa alam hai kahaan, aisa jawaan hai kahaan 

Kaisa saja hai kaisa hasin hai, karbobala mei shah ka lashkar,
yoon to sabhi hai sheyr-e-dilawar, Auno Muhammad Qasim-o-Akbar
Ibne Mazahir Wehbe Kalbi, John bhi Hur bhi sare dilawar 
Apni jagha ye sab hai bahaddur, Faoj me teri ay shah-e-safdar
Aisa alam hai kahaan, aisa jawaan hai kahaan 

Baade namaz-e-fajr ziyarat, tere alam ki karta hu,
sharf ghulami ka mil jaye, mai ye wazifa parhta hu
karke ziyarat tere alam ki, phir me ghar se chalta hu 
Saye mei chawda masoomo ke, shukhre khudaa mei rehta hu
Aisa alam hai kahaan, aisa jawaan hai kahaan 

Ham to sag-e-darbar-e-Ali hai, khas ye tujse rishta hai,
jad bhi hai tera Qul ka maula, tu bhi hamara aaka hai
tere fakiro me ay Ghazi, Arsh nasheen bhi rehta hai
Sindh me aawo maula kadam par, laal kalandar kehta hai
Aisa alam hai kahaan, aisa jawaan hai kahaan 

Shaam ke lashkar me halchal thi, kaun jari ab aata hai,
burhay jawaano se kehte the, yeh to Ali ab aata hai
sar pe khuda thokar me kazaa hai, qahre jali ab aata hai
Kehna para Ahmed ko Ali se, tera wasi ab aata hai
Aisa alam hai kahaan, aisa jawaan hai kahaan 

Teri shahadat se kunbe par, kaisi qayamat tut gayi,
jis ko kahaan karte the aaka, katl huwa wo bhayi bhi
Sar se chini Zainab ke chadar, teri Sakina qaid huwi 
Haey teri majboori Ghazi, Maa Zehra ye kehti rahi
Aisa alam hai kahaan, aisa jawaan hai kahaan 


Noha Title Aisa alam hai kahaan
Reciter Name Nadeem Sarwar
Poetry By Rehan Azmi
Released On  Nadeem Sarwar YouTube  Channel
Released By NA
Category Noha
Released Year 2004
Posted By  Noha Lyrics
Soz NA

Top Post Ad

Below Post Ad

Send Noha Lyrics
Right click is disabled for this website.