Beth Kar Namaz Parhti Hun Ayam e Fatimiyah Noha
Teri Umat Ne Wo Sitam Dhae Beth Ker Me Namaz Parhti Hun
Khoon Behta Hai Mere Pehloo Se Jub Bhi Baba Ruku Me Jhukti Hun
Kese Batlaoon Tujh Ko Me Baba Pasliyan Meri Kesy toot Gai
Ab To Chalna Bhi Mera Mushkil Hai Jub Me Ghar Ke Sehn Me Chalti Hun
Kamar Me Kham Bhi Aa Gya Baba Baal Sar Ke Safed Hain Baba
Mujh Ko Pehchan Tum Na Pao Gay Is Tarha Me Zaeef Lagti Hun
Teri Tahreer Ke Khuda Jane Meny Purze Smbhal Rakhay Hain
Tu Ne Jo Jo Likha Tha Mere Liye Baba Ro Ro Wo Lafz Parhti Hun
Esa Tora Hai Hath Zalim Ne Hath Baba Hila Nai Sakti
Roe Zainab Na Meri Halat Par Hath Apna Chupae Rakhti Hun
Tasbeeh Parhna Bhi Baba Mushkil Hai Sans Lena Bhi Baba Mushkil Hai
Tasbeeh Parhti Hun Dukhti Unglian Hain Pehlu Dukhta Hai Aanhen Bharti Hun
Is Qadar Zalimon Ne Mara Hai Me Musawar Jiun To Kesy Jiun
Ab To Zehra Rahy Na Duniya Me Mot Ki Me Umeed Rakhti Hun
Noha Title | Beth kr ma Namaz Parhti Hun |
Reciter Name | Syed Musawar Abbas Musawar |
Poetry By | Syed Musawar Abbas Musawar |
Released On | Nashad Naqvi Official YouTube Channel |
Released By | NA |
Category | Noha |
Released Year | Ayam e Fatimiyah 1443 |
Posted By | Noha Lyrics |
Soz | NA |
Check Out This Also: Bint e Sarwar Ayam e Fatimiyah Noha
Social Plugin