Bint e Sarwar Ayam e Fatimiyah Noha by Syed Farrukh Abbas
Ya Umm E Abiha Ya Umm E Abiha
Khoon Ab Tak Hain Muntaqim Rotay
Bint E Sarwar Ko Yhu Sataya Gaya
Jo Shareeq E Hijaab E Wehdat Thi
Usko Darbar Mein Bulaya Gaya
Jiske Dam Se Abhi Zamane Mein Din Haq Ka Nishan Baki Hai
Kitni Mazlooma Ho Gayi Bibi Qabar Ka Bhi Nishan Mitaya Gaya
Be Ijazat Malak Nahi Aatay JisKe Dar Pe Rasool Ruk Jatay
Uske Ghar Mein Najas Qadam Aye Uske Darwaze Ko Jalaya Gaya
Itna Zakhmi Kiya Gaya Usko Jis Ke HAtho Mein Kibriyai Hai
Zakhmi Mohsin Ki Maa Se Marqad Mein Hath Pehlu Se Na Uthaya Gaya
Zameen Bulati hai Tujh Ko Falak Bulata Hai
Makhdooma Pak Ka Makbooza Haq Bulata Hai
Meri Dua Hai Meri Tarah Asar Magar
Ab aa Bhi Ja Tujhe Bagh E Fidak Bulata Hai
Bain e Subat Alaiya Ke Abtak
Fakhar E Yantuk Ke Lab Pe Jari Hai
Rehmat E Do Jaha Ki Beti Ko Itna Kis Jurm Mein Sataya Gaya
Khoon Ab Tak Hain Muntaqim Rotay
Bint E Sarwar Ko Yhu Sataya Gaya
Mere Aadil Imam aa Bhi Ja Dekh Lein KAshif Hum Bhi Wo Manzar
Dekh Lein Kashif Hum Bhi Wo Manzar
Malka E Kun Fiqan Ke Khasib Ko Majma E Aam Mein Jalaya Gaya
Khoon Ab Tak Hain Muntaqim Rotay
Bint E Sarwar Ko Yhu Sataya Gaya
Noha Title | Bint e Sarwar |
Reciter Name | Syed Farrukh Abbas |
Poetry By | Syed Kashif Raza Naqvi |
Released On | Ajareresalat.com YouTube Channel |
Released By | NA |
Category | Noha |
Released Year | Ayam e Fatimiyah 1443 |
Posted By | Noha Lyrics |
Soz | NA |
Read This: Rasool ki ak Nishani Bhi
Social Plugin