Type Here to Get Search Results !

Rasool ki ak Nishani Bhi Ayam e Fatimiyah new Noha

 Rasool ki ak Nishani bhi Ayam e Fatimiyah Noha

Rasool Ki Ik Nishani Bhi BAchai Na Gayi
Wo Jal Rahi Thi Magar Aag Bhujai Na Gayi

Kesi Takleef Khuda Jane Fatima Ko Howi
Ik He Ghar Mein Thi Zainab Jo Bulayi Na Gayi

Mitaye Deen Ke Sare He Andhere Jis Ne
Iski Maiyat Kiun Din Mein Uthayi Na Gayi

Ye Ali Ko HE Pata Hai Kesi Halat Thi
Pehlu Ke Bal Bhi Jo Lehed Mein Sulayi Na Gayi

Pasliyan Dekh Le Madar Ki Tu Mar Jayegi
Bachao Se Esi Mayyat To Chupayi Na Gayi

Zakhmi Pehlu Se Bhi Bharh Ke Ye Gham Tha Zahra Ko
Qabar Jo Baba Ke Pehlu Mein Na Banayi Gayi

Bus Khuda Jane Salamat Ke Iski Janib Se 
Qabar E Zahra Ki Haqiqat Kiun batai Na Gayi

Rasool ki ak Nishani Bhi Ayam e Fatimiyah Noha in Urdu Text

رسولء کی اک نشانی بھی بچاٸی نہ گٸی
وہ جل رھی تھی مگر آگ بجھاٸی نہ گٸی

کیسی تکلیف خدا جانے فاطمہء کو ھوٸی 
ایک ھی گھر میں تھی زینبء جو بلاٸی نہ گٸی

مٹاٸے دین کے سارے ھی اندھیرے جس نے
اس کی میت کیوں بھلا دن میں اُٹھاٸی نہ گٸی

یہ علیء کو ھی پتہ ھے کیسی حالت تھی
پہلو کے بل بھی لحد میں جو سُلاٸی نہ گٸی

پسلیاں دیکھ لیں مادر کی تو مرجاٸیں گے
بچوں سے ایسے ھی میت تو چھپاٸی نہ گٸی

زخمی پہلو سے بھی بڑھ کے یہ غم تھا زھراء کو
قبر جو بابا کے پہلو میں بناٸی نہ گٸی

بس خدا جانے”سلامت“ کہ اس کی جانب سے 
قبر زھراء کی حقیقت کیوں بتاٸی نہ گٸی
Rasool ki ak Nishani Bhi Ayam e Fatimiyah new Noha

Noha Title Rasool ki ak Nishani Bhi
Reciter Name Ali Mukhtar Khan
Poetry By Salamat Firoz
Released On  Ajaresalat.com YouTube  Channel
Released By NA
Category Noha
Released Year Ayam e Fatimiyah 1443
Posted By  Noha Lyrics
Soz NA



Top Post Ad

Below Post Ad

Send Noha Lyrics
Right click is disabled for this website.