Type Here to Get Search Results !

Dunya Sata Rahi ha Ayam e Fatimiyah New Noha by Zaigham Raza

0

 Dunya Sata Rahi ha Ayam e Fatimiyah New Noha

Her aik gaam mujhko duniya sata rhi ha
Baba tumhari Ummat mujhko rula rhi ha, 

Dekha rasan Ali a.s ki gardan me maine jabse
Soyi ni hu baba ek shab ko bhi mai tabse
Usdin se Khoo'n k aansu Zahra s.a baha rhi ha

Kaise sukoon paun kaise mai chain pau
Furqat me apki ab Haye mai mar na jau
Ab mout mujhko apni janib bula rahi hai, 

Jis din se is jahaan se tum ho Sidhare baba
Her ek lamhe maine kaise Guzare baba
Meri ukhadti sanse khud hi bata rhi ha 

Loota ha is jahaan ne meerase Mustafa(s.a.w) ko, 
Jhutlate hain musalma'n majme me Fatima s.a ko, 
Taqdeer mujhko meri ye din dikha rhi h 

Zalim ne ha giraya pahlu pe jalte dar ko, 
Ummat ne apki h mara mere pisar ko, 
Mohsin k gham me baba meri Jaan Ja rhi ha

Aate ho khud nabi bhi jis ja paye salami
Krte ho'n jiske dar ki jinno malak Ghulami
Us ghar ko hi ye Ummat Haye jala rhi ha, 

Kunfuz se maa ko jabse durre hai khate dekha, 
Is gham me mera beta ab tak nii h soya
Mere pisar ki haalat mujhko dara rhi ha, 

Suhail aur zaigham bibi ka tha ye nauha
Imdad krne Aao beti ki apne baba, 
Zahra s.a pe teri duniya yu zulm Dha rhi ha
Dunya Sata Rahi ha Ayam e Fatimiyah New Noha by Zaigham Raza

Dunya Sata Rahi ha Ayam e Fatimiyah New Noha by Zaigham Raza

Noha Title Dunya Sata Rahi ha
Reciter Name Ziagham Raza
Poetry By Manzar Suhail
Released On  Zaigham Raza YouTube  Channel
Released By NA
Category Noha
Released Year Ayam e Fatimiyah 1443
Posted By  Noha Lyrics
Soz NA


Post a Comment

0 Comments

Top Post Ad

Below Post Ad

Send Noha Lyrics
Right click is disabled for this website.