Dar e Ghazi 3 Shaban 1443 New Manqabat
Ya Abbas, Ya Abbas
Ya Qamar-E-Bani Hashim
Ya Hazrat-E-Abbas
Jannat Dar-E-Ghazi Se Ziyada To Nahin
Ae Ishq Ye Nuqsaan Ka Souda To Nahin Hai
Kis Dar Pe Qataaron Me Khade Hain Ye Farishte
Jibreel Ye Abbas Ka Rouza To Nahin Hai
Kya Mashk E Sakina Me Utha Le Gaye Abbas
Saahil Pe Faqat Rait Hai Dariya To Nahin Hai
Kat Kat Ke Gira Jata Hai Kyon Shaam Ka Lashkar
Ghazi Ne Abhi Dekha Hai Mara To Nahin Hai
Firaun Na Ban Ab Bhi Madad Le-Le Jali Se
Tu Doob Raha Hai Abhi Dooba To Nahin Hai
Maahe Bani -Haashim Najad Aata Nahin Tujhko
Tu Aql Ke Andhe Kahin Andha To Nahin Hai
Aapas Me Ye Dar-Dar Ke Layin Poochh Rahe The
Abbas Ka Ladne Ka Iraada To Nahin Hai
Har Saal Meri Maa Yehi Kahti Rahi Mujhse
Maatam Abhi Zanjeer Ka Waisa To Nahin Hai
Abbas Ne Seene Se Lagaya Hai Tujhe Hurr
Ab Aur Koi Dil Me Tamanna To Nahin Nahin
Moosa Badi Oonchaayi Pe Hai Toor Tumhara
Lekin Dar-E-Abbas Se Ooncha To Nahin Hai
Aata Hai Ye Jab Ghar Me To Uth Jaate Hain Sajjad
Ye Hazrate Abbas Ka Beta To Nahin Hai
Jo Bhool Gaya Hurmat-E-Abbas Ko Sajjad
Koi Mera Apna Bhi Agar Tha To Nahin Hai
Social Plugin