Aisa Badshah Hussain Hai 3 Shaban Manqabat by Sonu Monu
Aisa badshah Hussain hai Mola Hussain hai
Ya baat kis qadar haseen jo keh gaye Mueen u Deen
Deen ki Panah Hussain hai Mera Hussain hai
Ha jis ki fikr Karbala Hussain wo dimagh hai
Ya Panjitan ki anjuman ka pachuan charagh hai
Hassan ka pehla hamsafar
Ali ka dusra pisar
Imam tesra Hussain hai
Karay jo koi hamsari kisi ki kya majal hai
Jahan mai har lihaz sai Hussain be misal hai
Ya ho chuka hai faisla
Na koi dusra Khuda
Na koi dusra Hussain hai
Maray Nabi ki muhabat talash karti hai
Unhain Ali ki muhabat talash karti hai
Zamanay walay to Jannat talash karti hai
Hussain walon ko Jannat talash karti hai
Shaheed Karbala ka gham jise bhi nagawar hai
Wo bad amal hai bad nasab usee mai beshumar hai
Aray o dushman e Aza
Tu mar zara qabar mai ja
Pata chalay ga kya Hussain hai
Yazeediyat jo kahee mu chupaye bethhi hai
Khuda ka khauf nahi us ko dar Hussain ka hai
Hazaroon sar hai Nazain jinhain bachati hai
Namaz ko jo bachaye
Wo sar Hussain ka hai
Qaza ka baad phir naye hayat mil gaye
Azab sai atab sai mujhay nijaat mil gaye
Sawal jab kia gaya
Hai kon tera rehnuma
Tou mai na keh dia Hussain hai
Noha Title | Aisa Badshah Hussain Hai |
Reciter Name | Sonu Monu |
Poetry By | |
Released On | Sonu Monu YouTube Channel |
Released By | NA |
Category | Manqabat |
Released Year | Shaban 1443 |
Posted By | Noha Lyrics |
Soz | NA |
Social Plugin