Shah Ast Hussain 3 Shaban New Manqabat
Guzri Haseen Zindagi is Aan Baan Say
Touheed Bolti Rahi Teri Zaban Say
Bat te Hain Jannat o Kay Ghar Tere Makan Say
Sar e Arsh Tera Lehray Alam
Koi Tujh Sa Nahi Konain Main Sultan Hussain as
Tevar Haseen Or Haseen Andaz e Guftugo
Aise Bane Sajay Huay Alfaz Ro Ba Ro
Jaise Namazi Behtay Hun Masjid Main Ba Wazo
Lagta Hai Hamain Woh Tera Bayan
Jab Parhte Hain Hum Surahe Rehman Hussain as
Likha Huwa Hai Khoon Say Sar Zeena e Hadeed
Karbobala Kay Dasht Main Huwa Maarka Shadeed
Zinda Mera Hussain(a.s.) Hai Maara Gaya Yazeed
Jo Sham O Sahar Hoti Hai Azaan
Hota Hai Yeh Teri Jeet Ka Elan Hussain as
Kata Galay Say Tegh Ka Tunay Gala Hussain as
Qaim Hai Do Jahan Main Tera Dab Daba Hussain as
Nara Hai Teri fouj Ka Labbaik Ya Hussain as
Har Aehle Aza Har Momin Kay
Yehi Naara Labo Pay Rehta Hai Har Aan Hussain as
Bay Ghar Khuda Kay Din Ko Dekha Tu Ghar Dia
Nabiyo Say Jo Na Hosaka Woh Kam Kardia
Sajdo Say Tunay Khana e Kaba Ko Bhardia
Az Roz e Azal Ta Roz e Abad
Hai Sare Zamano Par Tera Ahsan Hussain as
Eman Ki Rooh Ishq Ka Kaaba Hussain as Hai
Parhta Hai Jisko Deen Woh Kalma Hussain as Hai
Jisko Khuda Manay Woh Banda Hussain as Hai
Is Baat Say Yeh Bhi Sabit Hai
Tujh Per Hai Bohot Allah Ko Bhi Maan Hussain as
Uski Nigaaha Main Tera Rutba Buland Hai
Quran Aaj Bhi Tera Ahsaan Mand Hai
Batil Ki Uskay Samnay Awaz Bandh Hai
Har Majlis Main Har Mehfil Main
Bus Teri Hi Batain Karta Hai Quran Hussain as
Abbas as Bhi Hussain as Hai Akbar as Bhi Hai Hussain as
Zehra s.a Kay Lal Noor Ka Pekar Bhi Hai Hussain as
Kul Kainat Hussn Ka Mehwar Bhi Hai Hussain as
Tujh Jaisa Haseen Koi Bhi Nahi
Hai Tujh Pe Fida Yeh Gohar O Farhan Hussain as
Noha Title | Shah Ast Hussain |
Reciter Name | Farhan Ali Waris |
Poetry By | |
Released On | Farhan Ali Waris YouTube Channel |
Released By | NA |
Category | Manqabat |
Released Year | 3 Shaban 1443 |
Posted By | Noha Lyrics |
Soz | NA |
Social Plugin