Type Here to Get Search Results !

Hussain Ka Matam Waseem Nohay Lyrics 2023 | In Urdu English Hindi Punjabi

Hussain Ka Matam Waseem  Nohay Lyrics 2023 In Urdu English Hindi


Hussain Ka Matam Waseem  Nohay Lyrics 2023 In  English

Karega sara zamana husain ka matam 

Na rok payegi duniya  husain ka matam


Zaroor dekhega ankhoN se khouf ka manzar 

Wo din qareeb hai sun le ae dushmane sarwar

Dikhega tujhko bhi uncha husain ka matam


Suno ae dushmane sarwar tumhe bta dun main

Aza ko rokoge dum hai to aao maidaN me

Tumhe mitayega tanha husain ka matam 


Jo zulm karta hai kehte hain hum use zalim

Sukun milta hai humko magar tujhe zalim

Na jane kyun nahi bhata husain ka matam


Zameer soya hai jiska use jaga deta 

Zra sa dekhte tareekh to samajh ata 

Tmhare jad ne kiya tha husain matam


Mujhe pta hai satata hai tum ko ye hi ghum

Hmari nabz me pakeeza khoon me har dum

Rawani karta hai paida husain ka matam 


Ghame husain manana bhi ik ibadat hai 

Hm apne seeno pe krte hain par haqeeqat hai 

Hai tere muh pe tamacha husain ka matam


Aza ko chhod ke logon na door tum jaao 

Abhi bhi waqt hai hur ki trah chale aao

Kiya na humne na kehna husain ka matam.


Waseem padhta hai nouha zamana rota hai

Ghame husain to rizwan bhi manata hai 

Na hashr tak ye rukega husain ka matam

Top Post Ad

Below Post Ad

Send Noha Lyrics
Right click is disabled for this website.