Type Here to Get Search Results !

Sham Ka Bazar Sayem Noha Lyrics 2023 | In Urdu English Punjabi Hindi

 Sham Ka Bazar Sayem Noha Lyrics 2023 | In Urdu English Punjabi Hindi 


Sham Ka Bazar Sayem Noha Lyrics 2023 | In  English Text


Sham ka baazar Abid e beemar

Paon me bedi tauq e girabaan

Sham ka baazar Abid e beemar


 Bhule ga na wo manzar 

   Naize pe sare sarwar 

   Be maknao be chadar 

   Balwe me phuphi madar

   Aur majmae kuffar

Abid e beemar sham ka baazar 


 Baazar ki zebayi Kotho pe tamashai

   Ada ki safarayi aur aalame tanhai

   Wo beekso lachar

Abid e beemar sham ka baazar 


 Darbar me sar uryian

   Aate hai haram giriyan 

   Uthne laga ek tufaan 

   Mehshar ka sa hai samaan

   Jumbish me hai Darbar 

Abid e beemar sham ka baazar 


 Bu payi to ghabra kar

     Bachi ne kaha rokar 

     Is tasht me hai Jo sar

     Wo to hai sare sarwar 

     Kaise karun deedar

Abid e beemar sham ka baazar 


Hakim ne ye sun paya 

     To aur sitam dhaya 

     Sar posh ko sarkaya 

     Aur bacchi ko dikhlaya

     Chilayi wo ek baar 

Abid e beemar sham ka baazar 


 kuch shimr se farma do  

    Gardan meri khul wado 

    Sar baba ka dilwado

    Ya usko ye samjhado 

    Mare na sitamgaar

   Abid e beemar sham ka baazar 


 Sar jake uthau mai ya pas bulao mai

    Rudad sunau mai sene se laga lu Mai

    Dekhe bhara Darbar 

    Abid e beemar sham ka baazar 


 Kehne lagi phir rokar 

    Pyari hai agar Dukhtar 

    Aajayi haton par 

    Sab dekh len ye manzar 

    Ulfat ka ho izhaar 

   Abid e beemar sham ka baazar 


 Dukhtar ki sada sunkar 

 Phir tashte tila se sar 

    Godi me Gaya uthkar

    Godi me Gaya uthkar

    Nadan ne lipta kar

    Sar par rakhe rukhsaar

    Abid e beemar sham ka baazar 


 Jab baba ka sar paya

     Dil bacchi ka bhar aaya 

      Har zulm ko dohraya 

      Logon ne Jo sun paya 

      Aakhen hui khoon baar

      Abid e beemar sham ka baazar 


 Zindan me Aneese gham

     Karte hai haram maatam

     Maa puchti hai payham 

     Kyun ankh hai ye purnam 

     Kya mar gayi dildaar

     Abid e beemar sham ka baazar

Top Post Ad

Below Post Ad

Send Noha Lyrics
Right click is disabled for this website.