Aye Chand Muharram Ke | New Noha Lyrics 2024 | Ayaz Hussain Zaidi
Aye Chand Muharram Ke | New Noha Lyrics 2024 | Ayaz Hussain Zaidi In English Text
Ay chand moharram ke tu Abrr Mai chup jana
Zahra ka rulata hai tera ye nazar aana
Abbas k parcham ne lehra k bataaya hai
Shabber k matam ka Mahe Azaa aaya hai
Is Maah Mai zahra ka Gulshan hua virana
Pardesi bhi is gham Mai pardes se aate hain
Sab apne Watan aakar gham sheh ka manate hain
Deta hai sada gham ki her ek Azaa khana
Ai chand bta kaisa us raat ka manzar tha
Mashghul ibadat Mai shabber ka sab gher tha
Zaineb se koi puche us raat ka dhal jana
Kya tune nhi dekha shabber ka gham haye
Tha lashae Akber ki manind sitam haye
Maidan se Qasim ke tukdon ko utha lana
Majlis Mai sitaron ki tune bhi lahu roya
Is gham Mai zami'n royi or charkhe kohan roya
Akber ka jawani Mai Sine pe sina khana
Ek bund bhi pani ki pyaso'n ne nahi payi
Ai chand sakina bhi ye bhul nhi payi
Abbas ka Dariya per vo Jake nhi aana
Tu Arsh se takta tha her zulmo'n sitam haye
Tha Lasha E Akber ki Manind ye gham haye
Maidan se Qasim ke tukdon ko utha lana
Hasrat thi Naseem uski vo apne Watan jaye
Kehta tha Ayaz Aakhir jab Mahe safar aaye
Turbat pe sakina ki tu chandni barsana
Social Plugin