Abbas E Alamdar | Ali Akbar Ameen New Nohay Lyrics 2024
Abbas E Alamdar | Ali Akbar Ameen New Nohay Lyrics 2024 In Urdu Text
Abbas E Alamdar | Ali Akbar Ameen New Nohay Lyrics 2024 In Roman English Text
Chaadar e Zainab(sa) ke nigehdaar, Abbas E Alamdaar
Lashkar e Shabbir ke saalaar, Abbas e Alamdaar
Dete laDne ki raza jo shahe jinn o bashar
Durr tak aate nahi ran mei kuffar nazar
Aapse phir bhi koi, laDne aajata agar
Hoti jafa ki khatm WahaaN zindagi
Fauj e yazeedi mei nahi Bachta koi
Milti agar aapko talwaar Abbas e Alamdaar
Nehr pe pohach gaye, mashk paani se bhari
Apne rahwaar se phir bole yeh ibne Ali
Tu bhi pyaasa hai Bohat thoDa pii lee paani
Bachche hai pyaase paani piuN kis tarha
Naam e Sakina pe nahi paani piya
Pyaasa raha aapka rahwaar Abbas e Alamdaar
Haye ashoor ke din tha qayamat ka samaaN
Aaye Ghazi ke qareeN, Malik e Kaun o makaaN
Sar ko zanu pe rakha, bole yeh Shahe zamaaN
Aapne tifli se Humme aaqa kaha
Kardo ay Ghazi pura yeh armaaN mera
Bhai bhi kehdo Humme Ek baar Abbas e Alamdaar
Jab rasan basta huwe, roke Zainab ne kaha
Tasnalab Sher e Jari,Ay Sakina ke Chacha
Jaa rahi hai yeh behan,chorD kar karbobala
Baad tumhare, aise hai badla jahaaN
Na koi mehmil na hai koi saebaaN
Chalne ko hai kafela tayyar Abbas e Alamdar
Tere hi dum se jaari main Madine se chali
Aas zainab ke the tum aye sakhi ibne sakhi
Aao imdad ko ab waris e naade ali
Ahle haraam ka na hai koi aasra
Mere bawafa chin gayi meri rida
Aake zara dekhlo ek bar abbas e alamdar
Matami halkoN se aarahi hai yeh sada
Kar rahe hai yeh dua bar sar e farsh e aza
Ab ziyarat ka sharaf humko bhi kardo ata
Bab e hawaij dil ki hai yeh ilteja
Aapke dar par hum karein majlis bapa
Hum bhi bane aapke zawwaar, Abbas e Alamdaar
Ay Surani yeh batado jahaaN ko jaakar
Zindagi baaT ta hai sakhi Abbas ka dar
Jab kabhi waqt paDe yaad rakhna Akbar
Jab na jahaaN mei hoga koi aasra
Bali Sakina ka doo agar wasta
Karte nahi hai kabhi inkaar Abbas e Alamdaar
Social Plugin