Shabbir ka Matam | New Noha Lyrics 2024 | Ayaz Hussain Zaidi
Shabbir ka Matam | New Noha Lyrics 2024 | Ayaz Hussain Zaidi In Urdu Text
Shabbir ka Matam | New Noha Lyrics 2024 | Ayaz Hussain Zaidi In English Text
Jo krte nhi h shahe dilgeer ka matam
Mehshar Mai karege wahi taqdeer ka matam
Her Ehle Azaa kehta h matam ki sada se
Firdos Mai le jaega shabber ka matam
Shabbir (a.s.) ka matam h ye shabbir (a.s.) ka matam
Do hath ka matam ho yaa zanjeer ka matam
Vo aag ka matam ho yaa shamsheer ka matam
Sachchi ka Ailaan h shabber ka matam
Jin logo'n Mai hur banne ki himmat nhi hoti
Duniya Mai phir un logo'n ki izzat nhi hoti
Vo log kiya krte hain taqdeer ka matam
Kya rait ki diwar se ruk skta h dariya
Kya fatwon ki bochar se ruk skta h giriya
Fatwe ye kaha'n or kaha'n shabber ka matam
Matam k liye hath vo kis tarha utha le
Jin hatho'n Mai tasbeeh hi se pad jate ho'n chale
Vo hath nhi krte hain shabber ki matam
Jab chadare chinne lagi pakiza saro'n se
Or aag barasne lagi zalim ke gharo'n se
Bas hone lga Ayaye tatheer ka matam
Aankhon Mai basai hue ek nanha sa jhula
Sine se lagae hue ek khoo'n bhara kurta
Maa krti rhi Asghar E besheer ka matam
Jo phool se takra k hua tukde hi tukde
Maamool se takra k hue tukde hi tukde
Vo hurmula krta rha us teer ka matam
Ab rokne Walo'n ko b ehsas h nayyar
Kehta h Ayaz or Jo hassaas h nayyar
Roke se nhi rukta h shabber ka matam
Social Plugin