Type Here to Get Search Results !

Marne Se Pehle | Ameer Hasan Aamir Noha 2024

 Marne Se Pehle | Ameer Hasan Aamir Noha 2024

Marne Se Pehle | Ameer Hasan Aamir Noha 2024 In Roman English Text

Ek Hi Khwahish Hai Bas Ab Dil E Ghamkhwar Me

 Naam Ho Mera Rakham Aap Ke Zawwar Me

Hai Dil E Muflis Ki Akhri Ilteja

 Sirf aik bar dakh lo karbala Marne Se Pehle


Hum Ne Suna Hai Roza E Hazrat Hussain Ko

Ek Baar Dekhna Kayi Hajj Ka Sawab Hai

Apne Azadar Ko Moula Bulalijiye

Farshe Zamee'n Ki Hamen Quld Dikha Dijiye

Dekhlen Hum Log Bhi Roza Apka Marne Se Pehle


Hai Yeh Meri Aarzoo Mai Bhi Ziyarat Karun 

Roza E Hazrat E Abbas Pe Jake Ibadat Karun

Parchama E Ghazi Ka Choomlu Pharera Marne Pehle


 Dekhlun Ek Baar Mai Roza E Shahe Najaf

Phir Mai Wahan Se Chalun Karbobala Ki Taraf

Mai Bhi Karun Tay Mashi Ka Raasta 


 Aap Ke Darbar Me Aapka Matam Karun

Aap Pe Girya Karun Aapka Ka Nouha Padhun

Karbobala Jaake Mai Padhun Marsiya

Marne Se pehle


Jaun Wahan The Jahan Ahle Haram Ke Qayam

Dekhe Nigahen Meri Akbar E Sheh Ka Maqam

Ho Meri Aankhon Ke Saamne Alqama 


 Padh Ke Durood O Salam Panjatan E Paak Pe

Shukr Ka Sajda Baja Laaun Mai Jab Khaak Pe

Khaake Shifa Se Hi Mujhe Bhi Ho Shifa


Moula Bas Ek Baar Mai Us Dar Choomlun

Jis Dar Se Aajtak Koi Khali Nahi Gaya

Hazrat E Babul Hawaij Ka Haram Dekhlun

Us Pe Laga Deen Ka Surkh Alam Dekhlun

Do Kate Hathon Ka Dekhlun Moujiza


Karte Hain Aamir Kumail Aap Se Bas Yeh Dua

Hum Pe Musalsal Rahe Aapki Youn Hi Ata

Rukh Na Sake Aapke Gham Ka Silsila 

Sirf aik bar dakh lo karbala Marne Se Pehle


Top Post Ad

Below Post Ad

Send Noha Lyrics
Right click is disabled for this website.