Kya Ye Wo Chand Hai | Ali Mohammad Sultanpuri NohaLyrics 2024
Kya Ye Wo Chand Hai | Ali Mohammad Sultanpuri NohaLyrics 2024 In Roman English Text
Jis chand me Rasool((s) bhi rote hain zar zar
Hoti hain jis ko dekh ke Zahra(a.s.) bhi beqarar
Karta hai jo Hasan(a.s.) ke kaleje ko tar tar
Sadme se jis me aaj bhi roti hai zulfiqar
Aate hain jis me aj bhi pyason ke sar nazar
kya ye wo chand hai
Jis chand me Batool(s) ka gulshan ujad gaya
Jis chand me Rasool(s) ke pyaron pe thi jafa
Jis chand me Ali(a.s.) ke dularo n ka sar kata
Jis chand me lahu se hui lal karbala
Jis me laga diya gaya pahra furat par
kya ye wo chand hai
Jis chand me husain(a.s.) se akber(a.s.) hua juda
Seene pe naujawan ke barchhi ka phal laga
Toda gaya zaeef ka pardes me asa
Chhena gaya husain(a.s.) se jeene ka asra
Akber(a.s.)ka jis me baap ke hatho n pe tha jigar
kya ye wo chand hai
Abbas(a.s.) ka husain(a.s.) ne paya hai jis me gham
Jis me kamar hui hai shahe karbala ki kham
Jis chand me dilair ke shane n hue kalam
Thanda hua furat pe Jis chand me alam
Jis me naher pe doob gaya hashmi qamar
kya ye wo chand hai
Nanneh gale pe teer laga jis helal me
Ek sheer khawar naher hua jis helal me
Chehre pe shah ne khoon mala jis helal me
Asgher ko roke dafan kiya jis helal me
Ki jis me be jaba n ki lahad ansuon se tar
Kya ye wo chand hai
Zakhmo n se choor choor the jis me shahe huda
Seene pe jis helal me shimre lain chadha
Kata gaya husain ka jis chand me gala
Jis me husain(a.s.) qatal huye ran me be khta
Madar thi jis me lal ke lashe pe noha gar
Kya ye wo chand hai
Hoti thi jis helal me din rat sakhtiya n
Tadpi hai jis helal me haider(a.s.) ki betiya n
Ujdi hai jis helal me maaon ki godiya n
Dikhta hai jis helal me khaimo n ka wo dhuan
Pahre pe jis me zainab e muztar(a.s.) thi raat bhar
Kya ye wo chand hai
Likhta hai jab koi bhi surani ye dastan
Hota hai jab ali ye bahattar ka gham byaan
Hilti hai ye zameen larazta hai asman
Dete hai ghaib se ye sada saheb zaman(a.s.)
Rota hun jis me peet ke sar mai har ek paher
Han ye wo chand hai han ye wo chand
Social Plugin