Salamat Rahe | Ali Akbar Ameen Nohay Lyrics 2024
Salamat Rahe | Ali Akbar Ameen Nohay Lyrics 2024 In Urdu Text
Salamat Rahe | Ali Akbar Ameen Nohay Lyrics 2024 In Roman English
Muharram Ka Karte Hai Jo intezar
Jo zehra ke baccho say karte hai pyar
Jo karte hai matam pay jaan e nisar
Gham e sheh mai hotey hai jo ashk bar
Alam jo uthate hai Abbas Ka
Bahattar ki Majlis karate Hain Jo
Moharram pe daulat lutate hain jo
Sabeelon pe pani pilate hain jo
Shaheedon pe ansoo bahate hain jo
Jo karte hain pyason pe aho buka
Salamat rahain matami ye jawaN
Salamat rahain sheh ke ye noha khwaN
Jo karte hai haq majliso mai bayaN
Gham e sheh mai hai jinke aasun rawaN
Koi gham na day unko rabbe jahaN
Sivaye ghame shah e karbobala Salamat rahain
Wo pyasi sakeena ki Fariyaad ko
Wo mashko Alam se Judi yaad ko
Jo bhule nhi gam ki Roodaad ko
Moharram me Jo apni aulaad ko
Sikhate hai sakka bana kar wafa
Ye asgar ke ansar jeety rahain
Ye masoom ghamkhar jeetey rahain
Khuda ye alamdar jeetey rahain
Ye nanhe azadar jeetey rahain
Aur inka badhate hai jo hosla
Jo Majlis Mai baithye to roney lagey
Sar e farshe gham jinke aasun bahey
Vo behne jo akbar ka matam karen
Jo sughra ke bhai ka noha padhey
Khuda esi behno ke bhai sada
Muqaddar say jinko sharaf ye mila
Jo chehlum mai pohchengy karbobala
Haram mai karengy jo matam bapa
Padhengy shah e din ka marsiya
Khudaya vo zawwar e shahe hoda
Meri fikr ne mujh say rokar kaha
Ey waiz likho ek maa ki sada
Karo zindagani ka kuch haq ada
Ey akbar sunatey raho marsiya
Agar chahte ho miley ye dua
Social Plugin