Qatal Gah e Imam Hussain | Syed Raza Abbas Zaidi New NohayLyrics 2025
Qatal Gah e Imam Hussain Lyrics In English Text
Hussain walon suno, yeh hai Qatl Gaah-e-Hussain
Tadap raha tha yahin par Ali ke dil ka chain
Isi maqam pe Zahra yeh kar rahi thein bain
Na qatl kar meri godi mein mera Noor-e-Ain
Yahan talak suno kaise Hussain aaya tha
La’een kheench ke baalon se usko laya tha
Tamanchah maar ke seene pe jab sawar hua
Tadap ke reh gaye Shabbir, sirf itna kaha
Utar ja seene se zaalim, na zulm kar aisa
Hai mere seene pe bas haq meri Sakina ka+++
Yahan pe aayi to mar jaayegi woh ro ro kar
Sakina dekh na le tujh ko mere seene par
Kabhi badan pe woh khanjar se waar karta tha
Kabhi Hussain ke zakhmon pe khaak daalta tha
Phir apne paaon se zakhmon ko jab masalta tha
Ali ka beta wahan baar baar marta tha
Ghareeb-e-Zahra jab Abbas ko pukarta tha
La’een daadhi pakar kar tamanchay maarta tha
Isi maqam se sattar qadam thi door behan
Pukarti rahi: Na kaat Shimar, sookha dahan
Tu jaanta hai bohot door hai hamara watan
Main le ke aaoongi uske liye kahan se kafan
Wahan Hassan ko mile do kafan, main bhooli nahin
Yahan Hussain ki qismat mein ek kafan bhi nahin
Zabaan khushk hai, zakhmi hai uski peshani
Jawaan betay ke qaatil ne maari hai barchhi
Hazaron zakhm yeh kha kar gira hai thak ke abhi
Hawa hai garm, zameen tap rahi hai maqtil ki
Pila de paani, Muhammad ka yeh nawasa hai
Hai munh khula hua, na jaane kitna pyaasa hai
Ae rone walon, yeh dil thaam kar suno manzar
Chali chhuri to rakha haath maan ne ro ro kar
Gala samajh ke woh karta tha waar gin ke magar
Haan zakhm aate rahe Fatima ke haathon par
Hussain kehte the: Ammaan hata lo haath ammaan
Gale pe chalne do khanjar, bacha lo haath ammaan
Tadapte reh gaye maqtil mein dono maan beta
Gale pe Shah ke zaalim ne teera waar kiye
Bayaan-e-haal ho Zeeshan aur Raza kaise
Abhi talak to behan uth rahi thi gir gir ke
Sar-e-Hussain kata dekh na saki Zainab
Zameen pe aise giri jaise mar gayi Zainab
Qatal Gah e Imam Hussain Lyrics In Urdu Text
حُسینؑ والوں سنو یہ ہے قتل گاہِ حُسینؑ
تڑپ رہا تھا یہیں پر علیؑ کے دل کا چین
اِسی مقام پہ زہراؑ یہ کر رہیں تھیں بین
نہ قتل کر میری گودی میں میرا نورِ عین
یہاں تلک سنو کیسے حُسینؑ آیا تھا
لعین کھینچ کے بالوں سے اُسکو لایا تھا
طمانچہ مارکے سینے پہ جب سوار ہوا
تڑپ کے رہ گئے شبیرؑ صرف اتنا کہا
اُترجا سینے سے ظالم نہ ظلم کر ایسا
ہے میرے سینے پہ بس حق میری سکینہؑ کا
یہاں پہ آئی تو مرجائیگی وہ رو روکر
سکینہؑ دیکھ نہ لے تجھکو میرے سینے پر
کبھی بدن پہ وہ خنجر سے وار کرتا تھا
کبھی حُسینؑ کےزخموں پہ خاک ڈالتا تھا
پھر اپنے پاؤں سےزخموں کو جب مسلتا تھا
علیؑ کا بیٹا وہاں بار بار مرتا تھا
غریبِ زہراؑ جب عباسؑ کو پکارتا تھا
لعین داڑھی پکڑ کر طمانچہ مارتا تھا
اسی مقام سے ستر قدم تھی دور بہن
پکارتی رہی نا کاٹ شمر سوکھا دہن
تو جانتا ہے بہت دور ہے ہمارا وطن
میں لیکے آؤنگی اسکے لئے کہاں سے کفن
وہاں حسنؑ کو ملےدو کفن میں بھولی نہیں
یہاں حُسینؑ کی قسمت میں اک کفن بھی نہیں
زبان خشک ہے زخمی ہے اسکی پیشانی
جوان بیٹے کے قاتل نے ماری ہے برچھی
ہزاروں زخم یہ کھاکر گرا ہے تھک کے ابھی
ہَوا ہے گرم زمیں تپ رہی ہے مقتل کی
پلادے پانی محمدؐ کا یہ نواسہ ہے
ہے منہ کھُلا ہوا نا جانے کتنا پیاسہ ہے
اے رونے والوں یہ دل تھام کر سنو منظر
چلی چھری تو رکھا ہاتھ ماں نے رو روکر
گلا سمجھ کے وہ کرتا تھا وار گن کے مگر
ہاں زخم آتے رہے فاطمہؑ کے ہاتھوں پر
حُسینؑ کہتے تھے اماں ہٹالو ہاتھ اماں
گلے پہ چلنے دو خنجر بچالو ہاتھ اماں
تڑپتے رہ گئے مقتل میں دونوں ماں بیٹے
گلے پہ شاہؑ کے ظالم نے تیرا وار کئے
بیان حال ہو ذیشان اور رضا کیسے
ابھی تلک تو بہن اُٹھ رہی تھی گِر گِر کے
سرِ حُسینؑ کٹا دیکھ نا سکی زینبؑ
زمیں پہ ایسے گری جیسے مرگئی زینبؑ
Tamanchah maar ke seene pe jab sawar huaTadap ke reh gaye Shabbir, sirf itna kahaUtar ja seene se zaalim, na zulm kar aisaHai mere seene pe bas haq meri Sakina kaYahan pe aayi to mar jaayegi woh ro ro karSakina dekh na le tujh ko mere seene par
Kabhi badan pe woh khanjar se waar karta thaKabhi Hussain ke zakhmon pe khaak daalta thaPhir apne paaon se zakhmon ko jab masalta thaAli ka beta wahan baar baar marta thaGhareeb-e-Zahra jab Abbas ko pukarta thaLa’een daadhi pakar kar tamanchay maarta tha
Isi maqam se sattar qadam thi door behanPukarti rahi: Na kaat Shimar, sookha dahanTu jaanta hai bohot door hai hamara watanMain le ke aaoongi uske liye kahan se kafanWahan Hassan ko mile do kafan, main bhooli nahinYahan Hussain ki qismat mein ek kafan bhi nahin
Zabaan khushk hai, zakhmi hai uski peshaniJawaan betay ke qaatil ne maari hai barchhiHazaron zakhm yeh kha kar gira hai thak ke abhiHawa hai garm, zameen tap rahi hai maqtil kiPila de paani, Muhammad ka yeh nawasa haiHai munh khula hua, na jaane kitna pyaasa hai
Ae rone walon, yeh dil thaam kar suno manzarChali chhuri to rakha haath maan ne ro ro karGala samajh ke woh karta tha waar gin ke magarHaan zakhm aate rahe Fatima ke haathon parHussain kehte the: Ammaan hata lo haath ammaanGale pe chalne do khanjar, bacha lo haath ammaan
Tadapte reh gaye maqtil mein dono maan betaGale pe Shah ke zaalim ne teera waar kiyeBayaan-e-haal ho Zeeshan aur Raza kaiseAbhi talak to behan uth rahi thi gir gir keSar-e-Hussain kata dekh na saki ZainabZameen pe aise giri jaise mar gayi Zainab
Tamanchah maar ke seene pe jab sawar hua
Tadap ke reh gaye Shabbir, sirf itna kaha
Utar ja seene se zaalim, na zulm kar aisa
Hai mere seene pe bas haq meri Sakina ka

Social Plugin