Mir Hasan Mir Nohay 2010 List with Complete Lyrics in Urdu
- Ujar Giya Hai Batool(S.A) Ka Ghar Hussain(A.S) Chup Hai
- Allah Yea Kesa Manzar
- Aye Aun O Muhammad
- Sakina sa Ko Kyon Chor Kar Ja Rahay Hain
- Qabr Asgar as Ki Bananay Main Badi Dair Lagi
- Arman Muk Gaye
- Sham Walo Na Satao
- Hik Wari Sir Maikoon
- Pehlu Bhi Shikasta Hay
Ujar Giya Hai Batool(S.A) Ka Ghar Hussain(A.S) Chup Hai Noha Lyrics Mir Hasan Mir
Khuda Ki Marzi Mein Sar Jhuka Kar Hussain(A.S) Chup Hai.
Ye Sabar Ki Koan Si Hai Manzil.
Pisar Ka Barchi Ka Chid Giya Dil.
Wo Hans Raha Hai Sirhane Qatil.
Uthaye Hatho Pe Lash-e-Akbar(A.S) Hussain Chup Hai.
Giya Hai Lakon Mein Wo Akela.
Chilaye Jate Hain Teer Aada.
Kahin Se Barchi Kahin Se Bhala.
Bars Rahe Hain Kahin Se Pathar Hussain(A.S) Chup Hai.
Laga Hai Kyun Mere Dil Ko Dharka.
Laho Se Kis Ke Ye Tar Hai Chehrah.
Kahan Hai Asghar(A.S) Batein Maula(A.S).
Sawal Asghar(A.S) Ki Maa Ka Sun Kar Hussain(A.S) Chup Hai.
Naseeb-e-Rahib Jo Sheh Ne Badla.
Wahan Pe Khamosh Kibriya Tha.
Magar Ye Manzar Hai Karbala Ka.
Yahan Pe De Kar Khuda Ko Akbar(A.S) Hussain(A.S) Chup Hai.
Kaha Ye Qasid Ne Ro Ke Maula(A.S).
Mareez Beti Ka Khat Hoon Laya
Salam Sab Ko Hai Oss Ne Likha.
Salam Ka Bas Jawab De Kar Hussain(A.S) Chup Hai.
Hoye Hain Zakhmo Se Choor Maula(A.S).
Badan Se Behta Hai Khoon Ka Darya.
Kahe Tu Rakh Doon Ulat Ke Dunya.
Madad Ko Aya Hai Ran Mein Zafar Hussain(A.S) Chup Hai.
Lari Akele Mein WO Larai.
Dohai Dene Lagi Khudai.
Sada Junhi Irjai Ki Ayi.
Niyam Mein Zulfiqar Rakh Kar Hussain(A.S) Chup Hai.
"HUSSAIN GOHAR" Ye Janta Hai.
Safar Yeh Choda So Saal Ka hai
Sitam Jo Ab Tak Wo Seh Raha Hai.
Hai Raaz Iss Mein Koi Tu "AKBAR" Hussain(A.S) Chup Hai.
Mir Hasan Mir Noha Lyrics Allah Yea Kesa Manzar in Roman English Text
Ye Kaunsi Mastoora Hai Kya Maang Rahi Hai
islam ki khidmat ka sila maang rahi hai
har sahibe ghairat se rida maang rahi hai
pardes may marne ki dua maang rahi hai
afsurda hai aflaak siyaah posh zameen hai
jibreel zara dekhiye zainab to nahi hai
allah ye kaisa manzar hai
beparda shamiyo may aulaade payambar hai
allah ye kaisa manzar hai
nida de raha hai ye haskar manadi
ay logon gharon se nikal aao jaldi
sazae do inko ye baaghi hai baaghi
bajte hai shadiyane har haat may pathar hai
allah ye kaisa.....
kahan khauf khata hai zaalim kisi se
bulata hai ek ek ko wo naam leke
har ek bibi chupti hai zainab ke peeche
khud ko chupaye zainab fizza ki pusht par hai
allah ye kaisa.....
batata hai shimr aake khud shamiyo ko
ke kaata hai maine isi se saro ko
dikhata hai lehrake phir bibiyon ko
haaton may us shaqi ke ek khoon bhara khanjar hai
allah ye kaisa.....
hua hai asar itna beenaaiyo par
ajab kashmakash may hai asghar ki maadar
har ek naiza bardaar ke paas jaakar
ro ro ke poochti hai kya ye mera asghar hai
allah ye kaisa.....
aseero pe kaisi musibat bani hai
har ek bibi bazaar may dhoondti hai
sakina kahin bheed may kho gayi hai
mehshar se pehle barpa bazaar may mehshar hai
allah ye kaisa.....
qayamat may kaisi qayamat hai barpa
takallum hai godhi may asghar ka laasha
adalat may khaaliq ki aati hai zehra
nazre jhuki hai sabki nabiyon ke labon par hai
allah ye kaisa
Mir Hasan Mir Noha Lyrics Allah Yea Kesa Manzar in Urdu Text
یہ کون سی مستورہ ہے کیا مانگ رہی ہے
اسلام کی خدمت کا صِلا مانگ رہی ہے
ہر صاحبِ غیرت سے ردا مانگ رہی ہے
پردیس میں مرنے کی دُعا مانگ رہی ہے
افسردہ ہے افلاک سیاہ پوش زمیں ہے
جبریل زرا دیکھ یہ زینب تو نہیں ہے
اللہ یہ کیسا منظر ہے
بے پردہ شامیوں میں اولادِپیمبرہے
اللہ یہ کیسا منظر ہے
ندا دے رہا ہے یہ ہنس کر منادی
اے لوگو گھرو ںسے نکل آئو جلدی
سزا ئیں دو ان کو یہ باغی ہیں باغی
بجتے ہیں شادیانے ہر ہاتھ میںپتھر ہے
اللہ یہ کیسا ۔۔۔۔
کہاں خوف کھاتا ہے ظالم کسی سے
بُلاتا ہے اک اک کو وہ نام لیکے
ہر اک بی بی چھپتی ہے زینب کے پیچھے
خود کو چھپائے زینب فضہ کی پشت پر ہے
اللہ یہ کیسا ۔۔۔۔
بتاتا ہے شمر آ کے خود شامیوں کو
کہ کاٹا ہے میں نے اسی سے سروں کو
دیکھاتا ہے لہرا کہ پھر بیبیوں کو
ہاتھوں میں اُس شقی کہ اک خوں بھرا خنجر ہے
اللہ یہ کیسا ۔۔۔۔
ہوا ہے اسر اتنا بینائیو پر
عجب کشمکش میں ہے اصغر کی مادر
ہر اک نیزہ بردار کہ پاس جاکر
رو رو کے پوچھتی ہے کیایہ میرا اصغر ہے
اللہ یہ کیسا ۔۔۔۔
اسیروںپہ کیسی مصیبت بنی ہے
ہر اک بی بی بازار میں ڈھوندتی ہے
سکینہ کہیں بھیڑ میں کھو گئی ہے
محشر سے پہلے برپا بازار میں محشر ہے
اللہ یہ کیسا ۔۔۔۔
قیامت میں کیسی قیامت ہے برپا
تکلم ہے گودی میں اصغر کا لاشہ
عدالت میںخالق کی آتی ہے زہرا
نظریں جھکی ہیں سب کی نبیوں کے لبوں پر ہے
اللہ یہ کیسا
Aye Aun (AS) O Muhammad (AS) Noha Lyrics by Mir Hasan Mir
Kehti Thi Ye ZAINAB (SA)....5 Yun Maa Ka Maan Nibhana....2
Ay AUNO-MOHAMMAD(AS) Ay AUNO-MOHAMMAD (AS).....
SHABBIR (AS) Ka Tum Sadqa Ho Ab Khaime May Beta
Tum Laut Kar Na Aana Ay AUNO-MOHAMMAD (AS)
Hai Maa Ko Yaqeen Tum Maa Ki Baat Rakhoge
Ye Yaad Rahe Khaimo May Hai Pyase Bache
Darya Pe Agar Jaana Ho Seh Roz Ke Pyaso
Tum Pyas Na Bujhana Ay AUNO-MOHAMMAD (AS)
Ay AUNO....
Har Haal May Tum Par Laazim Hai Shukr Khuda Ka
Ay Shehzado Hai Sabr Tumhara Virsa
Farzand Ho Tum ZAINAB (SA) Ke Shikwa Nahi Karna
Jab Zakhm Koi Khana Ay AUNO-MOHAMMAD (AS)
Ay AUNO....
Kab Hum Pe Sitam Karne Ke Liye Aaye Hai
Yeh Badro Ohad Ke Badle Ke Liye Aaye Hai
Laazim Hai Razaz Se Pehle Maidan May Tum Par
Madhe ALI (AS) Sunana Ay AUNO-MOHAMMAD (AS)
Ay AUNO....
Jab Saans Tumhari Bachon Ho Ukharne Wali
Us Waqt Sirhane Aayengi Madar Meri
Dil Ki Ye Mere Khwahish Hai Us Dam Meri Maa Se
Zakhmon Ko Tum Chupana Ay AUNO-MOHAMMAD (AS)
Ay AUNO....
Qatil Pe Karam Nana Ki Tarha Kar Dena
Yun Laaj Mere Bhai Ke Naam Ki Rakhna
Jo Waasta De Bhai Ka Maidan Pe Us Par
Tum Taygh Na Chalana Ay AUNO-MOHAMMAD (AS)
Ay AUNO....
Jab Laashe Uthaakar Khime May Laaye Sarwar
ZAINAB (SA) Ye Boli Askhon Ko Apne Chupakar
Mai Bhi Na Tumhe Ro-ungi Aur Mere Liye Bhi
Aansu Na Tum Bahana Ay AUNO-MOHAMMAD (AS)
Ay AUNO....
Taazeem Ki Khaatir Kyun Ut-thay Nahi Ab Beta
Dekho To Sirhane Aaye Hai Mere Bhaiya
Jaago Mere Shehzado Kya Bhoolgaye Ho
Qadmo Pe Sar Jhukana Ay AUNO-MOHAMMAD (AS)
Ay AUNO....
Shabash Mere Bachon Hoo Mai Tumse Raazi
Yeh Kehke Takallum Khamosh Huvi Shahzadi
Naizo Pe Safar Karke Hamraah Hamaare
Tumko Hai Shaam Jaana Ay AUNO-MOHAMMAD (AS)
Ay AUNO
Sakina sa Ko Kyon Chor Kar Ja Rahay Hain Noha Mir Hasan Mir Lyrics
kaha roke baqir ne abid se baba
sakina ko kyon chor kar ja rahe hai
hai baba yahan par bada sa andhera
sakina ko....
ha dekha hai maine safar may ye manzar
jahan pani hota tha usko mayassar
to khud apne hissay ka pani hamesha
giraati thi ye aap ke baydiyo par
mayassar hai ab humko pani to pyasa
sakina ko....
jhukaye hue apna sar ro rahi hai
rihaai ki sunkar khabar ro rahi hai
tadapti hai dadi rubab aise baba
ke amma bhi thame jigar ro rahi hai
batayenge kya gar unhone ye poocha
sakina ko....
mujhe yaad hai khud ye kehte thay dada
madina hai iske sabab se madina
ke meri nazar wo ghar ghar nahi hai
nazar jisme aaye na mujko sakina
na uske bina phir basega madina
sakina ko....
madina ho ya sham karbobala ho
ke bazaar-o-darbar ka marhala hai
sana aur sitam humne jhela hai milkar
to phir kyon na ye mere dil ki sada
mujhe bhi yahin chor jaaye ay baba
sakina ko....
mujhe aaj yaad aa raha hai wo lamha
giri thi jo naaqe se ek din sakina
lage aap ki push tp ar taaziyane
magar aapne khaafila roke rakha
rukaale yuhi khaafila aaj baba
sakina ko....
achanak nigahein padi jo lahad par
sawalaat phir lab pe aaye na akbar
sakina ki turbat ko seene lagaye
padar se ye kehne lage roke baqir
samajh may meri ab hai baba ye aaya
sakina ko
Sakina sa Ko Kyon Chor Kar Ja Rahay Hain Noha Mir Hasan Mir Lyrics in Urdu Text
کہا رو کے باقر نے عابد نے بابا
سکینہ کو کیوں چھوڑ کر جا رہے ہیں
ہے بابا یہاں پر بڑا سا اندھیرا
سکینہ کو ۔۔۔۔۔
ہاں دیکھا ہے میں نے سفر میں یہ منظر
جہاں پانی ہوتا تھا اُس کو میسر
تو خود اپنے حصے کا پانی ہمیشہ
گراتی تھی یہ آپ کی بیڑیوں پر
میسر ہے اب ہم کو پانی تُو پیاسا
سکینہ کو ۔۔۔۔۔
جھکائے ہوئے اپنا سر رو رہی ہے
رہائی کی سُن کر خبر رو رہی ہے
تڑپتی ہے دادی رُباب ایسے بابا
کہ اماں بھی تھامے جگر رورہی ہے
بتائیں گے کیا گر اُنہوں نے یہ پوچھا
سکینہ کو ۔۔۔۔۔
مجھے یاد ہے خود یہ کہتے تھے دادا
مدینہ ہے اس کے سبب سے مدینہ
کہ میری نظر میں وہ گھر گھر نہیں ہے
نظر جس میں آئے نہ مجھ کو سکینہ
نہ اُس کے بنا پھر بسے گا مدینہ
سکینہ کو ۔۔۔۔۔
مدینہ ہو یا شام وکربوبلا ہو
کہ بازارودربار کا مرحلہ ہو
سناں اور ستم ہم نے جھیلے ہیں مل کر
تو پھر کیوں نہ یہ میرے دل کی صدا ہو
مجھے بھی یہیں چھوڑ جائیں اے بابا
سکینہ کو ۔۔۔۔۔
مجھے آج یاد آرہا ہے وہ لمحہ
گری تھی جو ناقے سے اک دن سکینہ
لگے آپ کی پُشت پر تازیانے
مگر آپ نے قافلہ روکے رکھا
رُکالیں یونہی قافلہ آج بابا
سکینہ کو ۔۔۔۔۔
اچانک نگاہیں پڑیں جو لحد پر
سوالات پھر لب پہ آئے نہ اکبر
سکینہ کی تربت کو سینے لگائے
پدر سے یہ کہنے لگے روکے باقر
سمجھ میں میری اب ہے بابایہ آیا
سکینہ کو
Qabr Asgar as Ki Bnanay Main Badi Dair Lagi Noha Lyrics by Mir Hasan 2010
Qabr Asghar ki bananay mein bohat der lagi
Sheh ko ek chaand chupanay mein bohat der lagi.
1. Kuch kadam duur hai bazaar se darbaar magar
Phir bhi Shehzadi ko aanay mein bohat der lagi.
2. Sheh ne har laash ko jaldi se uthaya lekin
Laash Akbar ki uthanay mein bohat der lagi.
3. Tukday chuntay huay Qasim ke kaha Mola ne
Haaye afsos ke aanay mein bohat der lagi.
4. Haan is kadar pyaas se sookha tha gulu-e-Sarwar
Shimr ko tegh chalanay mein bohat der lagi.
5. Karbala jaa ke Takallum ne yehi poocha tha
Mujhko Sarkaar bulanay mein bohat der lagi.
Sham Walo Na Satao Noha Lyrics Mir Hasan Mir 2010
shaam walo na satao
kehta tha muhari, ghurbat pe hamari, bas kar na rulao
sar chacha ka mere is waaste gir jaata hai
inko behno ka khula sar jo nazar aata hai
ghayoor ke sar ko lillaah na logo naize pe uthao
shaam walo....
haaye kya kya na sitam dhaaye hai ham par tumne
hadd yeh hai cheenli tatheer ki chadar tumne
ab tum wahi chadar naize pe uthakar humko na dikhao
shaam walo....
hum ulil-amr hai shayad yeh nahi tumko khabar
hum agar chaahe to barse abhi tum par patthar
majboor samajhkar haaye tum aale nabi par pathar na girao
shaam walo....
kaise naize pe uthaaya gaya sar asghar ka
kaise paamal kiya ibne-hassan ka laasha
yeh zulm ke kisse mat saamne jaake maon ko sunao
shaam walo....
shaam-e-ashoor se ye soyi nahi hai ab tak
mai to roya hoon ye royi bhi nahi hai ab tak
tum maarlo mujhko haaye par meri phuphi ko durre na lagao
shaam walo....
raaste bhar yeh tarapte rahe pani ke liye
tumko maloom nahi kabse hai pyase bache
bacho ko dikhakar is tarha zameen par pani na bahao
shaam walo....
aaj bat-ti hai wahan naam pe zainab ke rida
kal takallum wahan bemaar mera kehta raha
ye aale nabi hai haye tum aise na inko beparda phirao
shaam walo
You May Like - Mir Hasan Mir Best 8 Urdu Noha List with Lyrics
Sham Walo Na Satao Noha Lyrics Mir Hasan Mir 2010 in Urdu Text
شام والوں نہ نہ ستائو
کہتاتھا مہاری،غربت پہ ہماری،بس کر نہ رلائو
سر چچا کا میرے اس واسطے گرجاتا ہے
انکوبہنوں کا کھلا سر جو نظر آتا ہے
غیور کے سر کو للہ نہ لوگوں نیزے پہ اُٹھائو
شام والوں ۔۔۔۔
کیا نہ ستم ڈھائے ہیں ہم پر تم نےہائے کیا
حد یہ ہے چھین لی تطہیرکی چادر تم نے
اب تم وہی چادر نیزے پہ اُٹھاکر ہم کو نہ دکھائو
شام والوں ۔۔۔۔
ہم اُلِل امر ہیں شاید یہ نہیں تم کو خبر
ہم اگر چاہیں تو برسیںابھی تم پر پتھر
مجبور سمجھ کر ہائے تم آلِ نبی پر پتھر نہ گرائو
شام والوں ۔۔۔۔
کیسے نیزے پہ اُٹھایا گیا سر اصغر کا
کیسے پامال کیا ابنِ حسن کا لاشہ
یہ ظلم کے قصے مت سامنے جاکے مائوں کو سنائو
شام والوں ۔۔۔۔
شامِ عاشور سے یہ سوئی نہیں ہے اب تک
میں تو رویاہوں یہ روئی بھی نہیں ہے اب تک
تم مارلو مجھ کو ہائے پر میری پھپی کو درے نہ لگائو
شام والوں ۔۔۔۔
راستے بھر یہ ٹرپتے رہے پانی کے لئے
تم کو معلوم نہیںکب سے ہیں پیاسے بچے
بچوں کو دیکھاکر اس طرح زمیں پر پانی نہ بہائو
شام والوں ۔۔۔۔
آج بٹتی ہے وہاں نام پہ زینب کے ردا
کل تکلم وہاں بیمار میرا کہتا رہا
یہ آلِ نبی ہیں ہائے تم ایسے نہ ان کو بے پردہ پھرائو
شام والوں
Read More - Midhat e Zehra Mir Hasan Mir New Manqabat 2021
Hik Wari Sir Maikoon Babay Da Noha Lyrics Mir Hasan Mir 2010
Hik warri sir maiku babay da Sajaad bhira milwa eh,
Maida wadah hai wal na rosan.
Maiku piyo mazloom day hik wari (x2)
Rukhsar zara chumwa
Meda Wada Aey Wal Na Rosan, Hik war sir meko
1) Oh maiku khaak te neendar nehi ohndi jadaan samdi haan kan dukh wainday (x2)
Maiku Shimaar tamachay maray han (x2)
Mere eh rukhsar gawa eh,
Meda Wada Aey Wal Na Rosan, Hik wari sir meko
2) Chaon salan di Masooma de nehi sir day waal safaid honday (x2)
Main wang zaifa hogaiyan ya (x2)
Gaya dukh babay da kha eh,
Meda Wada Aey Wal Na Rosan, Hik war sir meko
3) Main piyo di matamdar jaidan zindan-e-Shaam ich mar waisan (x2)
Maiku dafan karan Sajaad bhira (x2)
Eho mela chola paa eh,
Meda Wada Aey Wal Na Rosan, Hik wari sir meko
4) Kya haal dasan Baqir jeewi makun Shaam di garmi kha gayi eh (x2)
Maku ghin wanjh is zindan vichon (x2)
Nehi lagdi veer hawa eh,
Meda Wada Aey Wal Na Rosan, Hik wari sir meko
5) Tu Sar babay Da Wanj Girrh Aah Shallah Rat Akhiyan Di Band Thirri (x2)
Jey Peyu Da Sar Meku Na Milya (x2)
Wal Muk Waisar Meday Saaye,
Meda Wada Aey Wal Na Rosan, Hik wari sir meko
5) Maidi maiyat amanat dafan karein ghin watan wanjhay tun naal apne (x2)
Maku babay de kol sama chorin (x2)
jaidan Thivi qaid reha hai,
Meda Wada Aey Wal Na Rosan, Hik war sir meko
6) Main peyo mazloom musafir di peshawani chumsa kayi wari (x2)
Nal-e-akhsa bachri rul gayian (x2)
Saar piyo da seena la eh,
Meda Wada Aey Wal Na Rosan, Hik wari sir meko Babay Da
Mir Hasan Mir Noha Lyrics Pehlu Bhi Shikasta Hay 2010
Pehlu Bhi Shikasta Hai, Turbat Bhi Shikasta Hai
Kya Haal Yeh Ummat Ne, Zehra Ka Banaaya Hai
1. Khatoon Koi Gham Se Yun Chur Nahi Dekhi,
Aisi Koi Duniya Mai, Mastoor Nahi Dekhi,
Athhaara Baras Mai Hii, Lagti Jo Zaeefa Hai
Pehlu Bhi Shikasta Hai, Turbat Bhi Shikasta Hai
2. Darbaar Mai Zaalim Ne, Kee Aisi Pazeeraai,
Kis Tarha Se Tu Bibi, Phir Laut Ke Ghar Aayi,
Baalon Ki Safedi Ne, Sab Haal Sunaaya Hai
Pehlu Bhi Shikasta Hai, Turbat Bhi Shikasta Hai
3. Tu Roti Rahi Ghar Mai, Haider Se Bhi Chhup Chhup Ke,
Ismat Ki Tarha Dukh Bhi, Parde Mai Rahe Tere,
Kuch Dard Tere Bibi, Bas Jaanti Fizza Hai
Pehlu Bhi Shikasta Hai, Turbat Bhi Shikasta Hai
4. Do Aise Janaaze Hai, Taarikh Mai Jo Utthe,
Bas Ghar Ke Hii Logo Ne, Dono Ko Diye Kaandhe,
Ik Fatema Zahra Hai, Ik Baali Sakina Hai
Pehlu Bhi Shikasta Hai, Turbat Bhi Shikasta Hai
5. Marham Tere Zakhmon Ka, Bibi Na Milaa Ab Tak,
Aulaade Umayya Ki, Baaqi Hai Jafaa Ab Tak,
Rone Pe Bhi Pehra Tha, Turbat Pe Bhi Pehra Hai
Pehlu Bhi Shikasta Hai, Turbat Bhi Shikasta Hai
6. Mismaar Tera Rauza, Ummat Ne Kiya Jab Se,
Baba Tera Rehta Hai, Turbat Pe Teri Tab Se,
Kab Ghumbad-e-Khizra Mai, Baba Tera Rehta Hai
Pehlu Bhi Shikasta Hai, Turbat Bhi Shikasta Hai
7. Mehdi Se Koi Puchhe, Kya Uss Pe Guzarti Hai,
Awaaz Baqayya Se, Jab Rone Ki Aati Hai,
Aankhon Se Lahu Rokar, Woh Bhi Yehi Kehta Hai
Pehlu Bhi Shikasta Hai, Turbat Bhi Shikasta Hai
8. Tasweer Haqiqat Ki, Khwaabon Ko Banaadijiye,
Ai Bibi Taqallum Ko, Taabir Dikhaadijiye,
Matam Teri Turbat Pe, Hote Huwe Dekha Hai
Pehlu Bhi Shikasta Hai, Turbat Bhi Shikasta Hai
Social Plugin