Type Here to Get Search Results !

Hasta Basta Ye Ghar Mera | Mohammad Ali Moshi | New Noha Lyrics

  Hasta Basta Ye Ghar Mera | Mohammad Ali Moshi | New Noha Lyrics 

 Hasta Basta Ye Ghar Mera | Mohammad Ali Moshi | New Noha Lyrics 

Hansta Basta Yeh Ghar Mera Ujarr Gaya Hai Ay Baba Haaye Baba

Saamne Mere Bhai Ka Sookha Gala Kata Hai Ay Baba Haaye Baba


Jiske Sahare Aii Thi Main Margaya Wo Ghazi Darya per

Hath Kate Hain Paon Juda Hai Gurz se Jiska Zakhmi Hai Sar

koi Nahi Tha Chehre kay bal wo jab gira hai Ay Baba Haaye Baba


Aapne Shab mein Mujhko Madine se Jab Kofa Bulwaya tha

Apki Parde Wali beti Bhooli nahi Jo Samjhaya tha

Door Watan se Ab wohi Zainab Be Parda Hai Ay Baba Haaye Baba



Nazon se jisko Pala Maine Wo Athara Saal ka Akbar 

Seene pe apne Barchi Khaye Tarap Raha tha Garm Zameen per

sath hi uske mar jati main Yehi Dua Hai ay Haaye Baba


Baap se Beti Lipti hui thi shimr ne Balon se jab khencha

Bhai Ka Zakhmi Be sar Lasha Saamne mere Tarap raha tha

Tamancha Khakar Meri Sakina Ne Jab Kaha Hai Ay Baba Haaye Baba


Bhai Hassan ki tha wo Nishani Naam tha Qasim jiska Baba

Hath mein uski Mehndi Uthaaye Bathi hui hai Kab se Farwa

Han Wohi Qasim Ture Hokar Bikhar Gaya hai Ay Baba Haye Baba


Haaye wo Mera Nannha Asghar Peron pe jo Chal Bhi na Paya

Teen dinon ki pyaas mein usne sookhe gale per Teer bhi khaya

Sar hi Nahi Naize per uska Badan Utha hai Ay Haaye baba


Maar Gaya Jeete jee usko Bhai Ka Gham Zeeshan aur moshi

Own O Muhammad ko Nahi Roi Sirf wo Rokar ye Kehti thi

Zainab Zainab Kab hai Jab se Bhai Gaya Hai ay Baba Haaye baba


Top Post Ad

Below Post Ad

Send Noha Lyrics
Right click is disabled for this website.